Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zahr ka dariya

Qaleel Jhansvi

zahr ka dariya

Qaleel Jhansvi

MORE BYQaleel Jhansvi

    chalo ki zahr ke dariyā sair jaa.e

    use matheñ aur amrit khoj jaa.e

    apne ḳhud-ġharaz irādoñ baaT baT kar ke

    kā.enāt ik na.ī shurūa jaa.e

    vo jo dānavoñ ko bhasm kartī ho

    jo devtāoñ ko insān kartī ho

    vo jis meñ shiv ko zahr piinā na paḌe

    vo kā.enāt jo sab ko samān kartī ho

    vo jis meñ bhes raahu badal na sake

    badal bhī le to amrit ko na sake

    vo jis meñ kaurvoñ zaat na ho

    vo jis meñ siitā koī churā na sake

    maiñ jāntā huuñ duniyā badal nahīñ saktī

    ek ho kar ke sāgar ko math nahīñ saktī

    yuuñ ḳhayāl guzrā hai be-ma.ānī

    jis takmīl har haal ho nahīñ saktī

    phir bhī

    chal ke dekho to zahr dariyā

    mathne koshisheñ to karo

    kise pata hai phir se amrit nikal paḌe

    chalo ki zahr ke dariya ki sair ki jae

    use mathen aur amrit ki khoj ki jae

    apne KHud-gharaz iradon ki baT baT kar ke

    kaenat ek nai shurua ki jae

    wo jo danawon ko bhasm karti ho

    jo dewtaon ko insan karti ho

    wo jis mein shiw ko zahr pina na paDe

    wo kaenat jo sab ko saman karti ho

    wo jis mein bhes rahu badal na sake

    badal bhi le to amrit ko pi na sake

    wo jis mein kaurwon ki zat na ho

    wo jis mein sita koi chura na sake

    main jaanta hun duniya badal nahin sakti

    ek ho kar ke sagar ko math nahin sakti

    yun hi KHayal sa guzra hai be-maani sa

    jis ki takmil har haal ho nahin sakti

    phir bhi

    chal ke dekho to zahr ka dariya

    mathne ki koshishen to karo

    kise pata hai phir se amrit nikal hi paDe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now