zahr ka dariya
chalo ki zahr ke dariyā kī sair kī jaa.e
use matheñ aur amrit kī khoj kī jaa.e
apne ḳhud-ġharaz irādoñ kī baaT baT kar ke
kā.enāt ik na.ī shurūa kī jaa.e
vo jo dānavoñ ko bhasm kartī ho
jo devtāoñ ko insān kartī ho
vo jis meñ shiv ko zahr piinā na paḌe
vo kā.enāt jo sab ko sammān kartī ho
vo jis meñ bhes raahū badal na sake
badal bhī le to amrit ko pī na sake
vo jis meñ kaurvoñ kī zaat na ho
vo jis meñ siitā koī churā na sake
maiñ jantā huuñ duniyā badal nahīñ saktī
ek ho kar ke sāgar ko math nahīñ saktī
yūñhī ḳhayāl sā guzrā hai be-ma.anī sā
jis kī takmīl har haal ho nahīñ saktī
phir bhī
chal ke dekho to zahr kā dariyā
mathne kī koshisheñ to karo
kise pata hai phir se amrit nikal hī paḌe
chalo ki zahr ke dariya ki sair ki jae
use mathen aur amrit ki khoj ki jae
apne KHud-gharaz iradon ki baT baT kar ke
kaenat ek nai shurua ki jae
wo jo danawon ko bhasm karti ho
jo dewtaon ko insan karti ho
wo jis mein shiw ko zahr pina na paDe
wo kaenat jo sab ko samman karti ho
wo jis mein bhes rahu badal na sake
badal bhi le to amrit ko pi na sake
wo jis mein kaurwon ki zat na ho
wo jis mein sita koi chura na sake
main janta hun duniya badal nahin sakti
ek ho kar ke sagar ko math nahin sakti
yunhi KHayal sa guzra hai be-mani sa
jis ki takmil har haal ho nahin sakti
phir bhi
chal ke dekho to zahr ka dariya
mathne ki koshishen to karo
kise pata hai phir se amrit nikal hi paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.