zahrili taKHliq
ek pal meñ ḳhatm ho saktī hai vus.at dahr kī
choTiyoñ se choTiyoñ tak rāsta
aage ḳhalā
aur ḳhalā kī tīrgī meñ duur se aa.ī huī kirnoñ ke rañgoñ kī numūd
āsmāñ ke paañv par mahtāb o anjum ke sujūd
aur zamīñ kī raunaqoñ kā vahm fikr-e-raft-o-ūd
bun diye kis ne ye tār-o-pūd
kis ke haath meñ aayā nizām-e-kā.enāt
kis ke zarre ban ga.e duniyā sitāre āftāb
kis ne āvāra-ḳhayālī ko pilā.ī fikr-e-shīrīñ kī sharāb
kis ne ye sab kuchh banāyā
aur ḳhud tārīk pardoñ meñ kahīñ baiThā rahā
kyā ye sab phailāv mere vāste haiñ
yā maiñ ḳhud us kī purānī ruuh meñ baiThā huā
gin rahā huuñ us ke ashkoñ kī qatār
poñchhtā huuñ us ke aañsū māñgtā huuñ us se bhiik
(chāhtā huuñ ruuh kī ḳhātir sukūñ)
vo to ḳhud is ḳhair-o-shar ke jaal meñ uljhā huā
dard se betāb taḳhlīq-e-aziyyat se niDhāl
chīḳh kar kahtā hai ''mujh ko maar Dāl''
ek pal mein KHatm ho sakti hai wusat dahr ki
choTiyon se choTiyon tak rasta
aage KHala
aur KHala ki tirgi mein dur se aai hui kirnon ke rangon ki numud
aasman ke panw par mahtab o anjum ke sujud
aur zamin ki raunaqon ka wahm fikr-e-raft-o-ud
bun diye kis ne ye tar-o-pud
kis ke hath mein aaya nizam-e-kaenat
kis ke zarre ban gae duniya sitare aaftab
kis ne aawara-KHayali ko pilai fikr-e-shirin ki sharab
kis ne ye sab kuchh banaya
aur KHud tarik pardon mein kahin baiTha raha
kya ye sab phailaw mere waste hain
ya main KHud us ki purani ruh mein baiTha hua
gin raha hun us ke ashkon ki qatar
ponchhta hun us ke aansu mangta hun us se bhik
(chahta hun ruh ki KHatir sukun)
wo to KHud is KHair-o-shar ke jal mein uljha hua
dard se betab taKHliq-e-aziyyat se niDhaal
chiKH kar kahta hai mujh ko mar Dal
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 828)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.