Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaitun ka daraKHt

Zeeshan Sahil

zaitun ka daraKHt

Zeeshan Sahil

MORE BYZeeshan Sahil

    Interesting Fact

    Dedicated to 'Mahmood Darvesh'

    mere paas

    koī baaġh nahīñ hai dost

    kuchh adhūre ḳhvāb ek balcony

    aur do tiin gamle haiñ

    jo mujhe duniyā meñ daraḳhtoñ ke

    baaqī rahne vajūhāt batāte haiñ

    aur jañgaloñ ko jalā diye jaane ḳhabreñ pahuñchāte haiñ

    merī bahan mere kamzor pairoñ meñ

    zaitūn ke tel se jaan Dālne koshish kartī hai

    maañ hotī to vo bhī yahī kartī

    kaash saarī duniyā meñ

    zaitūn ke tel ke kueñ hoñ

    aur kamzor pairoñ meñ jaan paḌ jaa.e

    aur ham apne pyāroñ ke saath

    mohabbat ke baaġh meñ roz chahal-qadmī kar sakeñ

    ek daraḳht tumhāre naam bhī hogā

    mere dost

    taaki ham hamesha mohabbat aur shifā-yābī ke mo.ajaze meñ

    ek dūsre ke sharīk raheñ

    mere pas

    koi bagh nahin hai dost

    kuchh adhure KHwab ek balcony

    aur do tin gamle hain

    jo mujhe duniya mein daraKHton ke

    baqi rahne ki wajuhat batate hain

    aur jangalon ko jala diye jaane ki KHabren pahunchate hain

    meri bahan mere kamzor pairon mein

    zaitun ke tel se jaan Dalne ki koshish karti hai

    man hoti to wo bhi yahi karti

    kash sari duniya mein

    zaitun ke tel ke kuen hon

    aur kamzor pairon mein jaan paD jae

    aur hum apne pyaron ke sath

    mohabbat ke bagh mein roz chahal-qadmi kar saken

    ek daraKHt tumhaare nam ka bhi hoga

    mere dost

    taki hum hamesha mohabbat aur shifa-yabi ke moajaze mein

    ek dusre ke sharik rahen

    Source :
    • Book : saarii nazmen (Pg. 732)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now