zaKHm
maiñ tum se kuchh na chhupā.ūñgā aur hai bhī kaun
jise maiñ jaan se baḌh kar aziiz rakhtā huuñ
tumheñ dikhā.ūñgā maiñ zindagī kā ek ek zaḳhm
maiñ tum se kuchh na chhupā.ūñgā vaqt aane do
bahut se zaḳhm diye haiñ mujhe zamāne ne
maiñ tum se kuchh na chhupā.ūñgā vaqt aane do
ye zaḳhm apne hī logoñ ke haiñ atā-karda
ye un ke zaḳhm haiñ jo umr bhar ke sāthī haiñ
ye un ke zaḳhm haiñ jo apnī aarzū ke liye
mirī umangoñ ke har phuul ko masal Daalā
ye un ke zaḳhm haiñ jo apnī tishnagī ke liye
mire laboñ ko sulagtā huā hī chhoḌ diyā
ye un ke zaḳhm haiñ jo apnī raushnī ke liye
mire charāġhoñ ko be-vaqt hī bujhā Daalā
ye un ke zaḳhm haiñ jo merī bhīgī palkoñ se
bahut se phuul chune dāman-e-ḳhushī ke liye
ye un ke zaḳhm haiñ jo mujh ko raah dikhlā kar
tamām umr bhaTakne ke vāste chhoḌā
ye un ke zaḳhm haiñ jo merā naam le le kar
hamesha merī mohabbat kā giit gaate rahe
mirī vafāoñ kā yuuñ bhī mazāq uḌāte rahe
main tum se kuchh na chhupaunga aur hai bhi kaun
jise main jaan se baDh kar aziz rakhta hun
tumhein dikhaunga main zindagi ka ek ek zaKHm
main tum se kuchh na chhupaunga waqt aane do
bahut se zaKHm diye hain mujhe zamane ne
main tum se kuchh na chhupaunga waqt aane do
ye zaKHm apne hi logon ke hain ata-karda
ye un ke zaKHm hain jo umr bhar ke sathi hain
ye un ke zaKHm hain jo apni aarzu ke liye
meri umangon ke har phul ko masal Dala
ye un ke zaKHm hain jo apni tishnagi ke liye
mere labon ko sulagta hua hi chhoD diya
ye un ke zaKHm hain jo apni raushni ke liye
mere charaghon ko be-waqt hi bujha Dala
ye un ke zaKHm hain jo meri bhigi palkon se
bahut se phul chune daman-e-KHushi ke liye
ye un ke zaKHm hain jo mujh ko rah dikhla kar
tamam umr bhaTakne ke waste chhoDa
ye un ke zaKHm hain jo mera nam le le kar
hamesha meri mohabbat ka git gate rahe
meri wafaon ka yun bhi mazaq uDate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.