zamin aur suraj
batāte haiñ mire abbū ki gol hai duniyā
ḳhud apnī kiilī pe chakkar lagātī rahtī hai
jo hissa aatā hai sūraj ke sāmne us kā
vahāñ pe hotā hai din raushnī bhī rahtī hai
jo hissa dhartī kā sūraj ke sāmne na rahā
añdherā hotā hai us samt raat hotī hai
jahāñ ho din vahāñ hotā hai kārobār-e-hayāt
jahāñ ho raat vahāñ kā.enāt sotī hai
na sirf ye ki zamīñ ghūmtī hai mehvar par
to puurā kartī hai chaubīs ghanToñ meñ chakkar
kamāl ye hai ki sūraj ke gird ghuum ke bhī
ye puure saal meñ kartī hai ek kār-e-digar
isī nizām se mausam badaltā rahtā hai
kahīñ hai garmī to sardī kahīñ pe hotī hai
kahīñ bahār khilātī hai sabza-zāroñ meñ gul
kahīñ baras ke ghaTā motiyāñ pirotī hai
zamīñ ho chāñd ho taare hoñ yā ki sūraj ho
ḳhalā meñ tairte rahte haiñ saare sayyāre
sañbhāle rahtī hai ik dūsre ko un kī kashish
tavīl hai jo Dagar us pe chalte haiñ saare
natīja niklā yahī bāhamī ta’āvun par
hai inhisār hamāre nizām-e-shamsī kā
milā ke haath chalegā agar bashar 'mehdī'
to husn aur bhī nikhregā apnī dhartī kā
batate hain mere abbu ki gol hai duniya
KHud apni kili pe chakkar lagati rahti hai
jo hissa aata hai suraj ke samne us ka
wahan pe hota hai din raushni bhi rahti hai
jo hissa dharti ka suraj ke samne na raha
andhera hota hai us samt raat hoti hai
jahan ho din wahan hota hai karobar-e-hayat
jahan ho raat wahan kaenat soti hai
na sirf ye ki zamin ghumti hai mehwar par
to pura karti hai chaubis ghanTon mein chakkar
kamal ye hai ki suraj ke gird ghum ke bhi
ye pure sal mein karti hai ek kar-e-digar
isi nizam se mausam badalta rahta hai
kahin hai garmi to sardi kahin pe hoti hai
kahin bahaar khilati hai sabza-zaron mein gul
kahin baras ke ghaTa motiyan piroti hai
zamin ho chand ho tare hon ya ki suraj ho
KHala mein tairte rahte hain sare sayyare
sanbhaale rahti hai ek dusre ko un ki kashish
tawil hai jo Dagar us pe chalte hain sare
natija nikla yahi bahami ta’awun par
hai inhisar hamare nizam-e-shamsi ka
mila ke hath chalega agar bashar 'mehdi'
to husn aur bhi nikhrega apni dharti ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.