zamin-zad
junūn-e-hakimiyyat ḳhud pasandī kā ye laavā
kyuuñ ubaltā aur bahtā jā rahā hai
saarī dhartī par
kahāñ se hukm aatā hai
ye kaisī soch ke pairā.e meñ
tum Dhāle jaate ho
ki nafrat aur gahrī ho rahī hai
zamīñ-zādo
badan dhartī meñ bone se
faqat qabreñ hī ugtī haiñ
lahū bahtā rahā to
mehr-o-vafā ehsās ke
sab bahte dariyā suukh jā.eñge
zamīñ-zādo
ye kaise ḳhauf ke andhe kuñ.eñ meñ
qaid haiñ saare
ki ik duuje se bachne ke liye
ham bam banāte haiñ
aur ik duuje pe shab kī tīrgī meñ
vaar karte haiñ
zamīñ-zādo
zamīñ taqsīm kar ke
sarhadeñ kis ne banā.ī haiñ
vo din bhī aane vaalā hai
parindoñ ke liye bhī
jab koī qānūn aa.egā
sipāhī fāḳhtāoñ ke paroñ ko bhī TaToleñge
parinde dil meñ socheñge
hameñ insān ne
kyuuñ apnī saf meñ kar liyā shāmil
ye kis ne haq diyā hai is ko
hameñ apnī tarah samjhe
hameñ apnī tarah soche
zamīñ-zādo
ḳhalā kā zaḳhm baḌhtā jā rahā hai
pahāḌoñ kī safedī meñ pighal kar
ab nadī kī aañkh sī bahne lagī
kabhī manzar dhueñ meñ
qaid hote jā rahe haiñ
zamīñ-zādo
guloñ se titliyāñ aur titliyoñ se baaġh mat chhīno
ki ab to sharm aatī hai
mirī pahchān hone par
mujhe insān hone par
zamīñ-zādo
junun-e-hakimiyyat KHud pasandi ka ye lawa
kyun ubalta aur bahta ja raha hai
sari dharti par
kahan se hukm aata hai
ye kaisi soch ke pairae mein
tum Dhaale jate ho
ki nafrat aur gahri ho rahi hai
zamin-zado
badan dharti mein bone se
faqat qabren hi ugti hain
lahu bahta raha to
mehr-o-wafa ehsas ke
sab bahte dariya sukh jaenge
zamin-zado
ye kaise KHauf ke andhe kunen mein
qaid hain sare
ki ek duje se bachne ke liye
hum bam banate hain
aur ek duje pe shab ki tirgi mein
war karte hain
zamin-zado
zamin taqsim kar ke
sarhaden kis ne banai hain
wo din bhi aane wala hai
parindon ke liye bhi
jab koi qanun aaega
sipahi faKHtaon ke paron ko bhi TaTolenge
parinde dil mein sochenge
hamein insan ne
kyun apni saf mein kar liya shamil
ye kis ne haq diya hai is ko
hamein apni tarah samjhe
hamein apni tarah soche
zamin-zado
KHala ka zaKHm baDhta ja raha hai
pahaDon ki safedi mein pighal kar
ab nadi ki aankh si bahne lagi
kabhi manzar dhuen mein
qaid hote ja rahe hain
zamin-zado
gulon se titliyan aur titliyon se bagh mat chhino
ki ab to sharm aati hai
meri pahchan hone par
mujhe insan hone par
zamin-zado
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.