zamin ka bojh
azal se irtiqā kī rahguzar meñ
hazāroñ qāfile haiñ jāda-paimā
abad kī manziloñ meñ chalte chalte
bahut se log kho kar rah ga.e haiñ
ġhubār-e-rāh ho kar rah ga.e haiñ
jinheñ sarmāya-e-irfāñ milā thā
jinheñ aql-e-junūñ-sāmāñ milī thī
vo apnī manziloñ kī saḳhtiyoñ ko
safar kī nā-sazā bad-baḳhtiyoñ ko
adā-e-tamkanat se pī ga.e haiñ
aur un ke azm-e-mustahkam ke sho.ale
fazāoñ meñ ujālā kar ga.e haiñ
magar kuchh log 'anjum' is jahāñ meñ
jinheñ zauq-e-jahāñ-bīnī milī thī
jinheñ idrāk-e-hastī bhī milā thā
vo apnī buzdilī se
qadam aage baḌhā kar Dar ga.e haiñ
zamīñ kā bojh the jo nañg-e-insāñ
vo sab jiine se pahle mar ga.e haiñ
azal se irtiqa ki rahguzar mein
hazaron qafile hain jada-paima
abad ki manzilon mein chalte chalte
bahut se log kho kar rah gae hain
ghubar-e-rah ho kar rah gae hain
jinhen sarmaya-e-irfan mila tha
jinhen aql-e-junun-saman mili thi
wo apni manzilon ki saKHtiyon ko
safar ki na-saza bad-baKHtiyon ko
ada-e-tamkanat se pi gae hain
aur un ke azm-e-mustahkam ke shoale
fazaon mein ujala kar gae hain
magar kuchh log 'anjum' is jahan mein
jinhen zauq-e-jahan-bini mili thi
jinhen idrak-e-hasti bhi mila tha
wo apni buzdili se
qadam aage baDha kar Dar gae hain
zamin ka bojh the jo nang-e-insan
wo sab jine se pahle mar gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.