zamin KHwab KHushbu
muñDeroñ se jab dhuup utrī
abhī raat jaagī nahīñ thī
abhī ḳhvāb kā chāñd sahrā meñ soyā huā thā
samundar ke bāloñ meñ chāñdī chamaktī nahīñ thī
kisī taaq meñ bhī diye kī koī lo bhaḌaktī nahīñ thī
fazāoñ meñ gītoñ kī mahkār thī
parinde abhī āshiyānoñ ko bhūle nahīñ the
vo sapnoñ meñ khoī huī thī
zamāne pe jab dhuup utrī
to us ne badan ko sameTā nahīñ thā
ye miTTī kī zarḳhezī jaagī nahīñ thī
so jab raat utrī
zamīñ ḳhvāb ḳhushbū
ye mausam
ye maiñ
merī āñkheñ
mirā dil
use ro rahe the
zamāne par jab raat utrī
munDeron se jab dhup utri
abhi raat jagi nahin thi
abhi KHwab ka chand sahra mein soya hua tha
samundar ke baalon mein chandi chamakti nahin thi
kisi taq mein bhi diye ki koi lo bhaDakti nahin thi
fazaon mein giton ki mahkar thi
parinde abhi aashiyanon ko bhule nahin the
wo sapnon mein khoi hui thi
zamane pe jab dhup utri
to us ne badan ko sameTa nahin tha
ye miTTi ki zarKHezi jagi nahin thi
so jab raat utri
zamin KHwab KHushbu
ye mausam
ye main
meri aankhen
mera dil
use ro rahe the
zamane par jab raat utri
- Book : Pakistani Adab (Pg. 200)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.