zamir
maiñ kaun huuñ batā.iye kyā merā naam hai
aayā huuñ maiñ kahāñ se kahāñ merā qayām hai
hamdard huuñ rafīq huuñ ye jaan lījiye
maiñ huuñ zamīr aap kā pahchān lījiye
uThe ġhalat qadam to batātā huuñ aap ko
har ġhalat amal pe jatātā huuñ aap ko
maiñ jāgtā huuñ ḳhud bhī jagātā huuñ aap ko
jo kuchh maiñ kah rahā huuñ ise maan lījiye
maiñ huuñ zamīr aap kā pahchān lījiye
jab bolte haiñ aap kabhī jhuuT barmalā
Toktā huuñ maiñ ki ye amal nahīñ bhalā
us vaqt ghoñTte haiñ mirā aap hī galā
jo kuchh maiñ kah rahā huuñ use maan lījiye
maiñ huuñ zamīr aap kā pahchān lījiye
karte haiñ aap naql agar imtihān meñ
is Dhañg se ki aa.e na shān-o-gumān meñ
maiñ Toktā huuñ aap ko dil kī zabān meñ
jo kuchh maiñ kah rahā huuñ use maan lījiye
maiñ huuñ zamīr aap kā pahchān lījiye
karte haiñ dostoñ se agar aap guftugū
rakhte haiñ dūsroñ kī kahāñ pās-e-ābrū
ġhībat kī ḳhū ko aaj hī kar diije āḳh-thū
jo kuchh maiñ kah rahā huuñ use maan lījiye
maiñ huuñ zamīr aap kā pahchān lījiye
main kaun hun bataiye kya mera nam hai
aaya hun main kahan se kahan mera qayam hai
hamdard hun rafiq hun ye jaan lijiye
main hun zamir aap ka pahchan lijiye
uThe ghalat qadam to batata hun aap ko
har ghalat amal pe jatata hun aap ko
main jagta hun KHud bhi jagata hun aap ko
jo kuchh main kah raha hun ise man lijiye
main hun zamir aap ka pahchan lijiye
jab bolte hain aap kabhi jhuT barmala
Tokta hun main ki ye amal nahin bhala
us waqt ghonTte hain mera aap hi gala
jo kuchh main kah raha hun use man lijiye
main hun zamir aap ka pahchan lijiye
karte hain aap naql agar imtihan mein
is Dhang se ki aae na shan-o-guman mein
main Tokta hun aap ko dil ki zaban mein
jo kuchh main kah raha hun use man lijiye
main hun zamir aap ka pahchan lijiye
karte hain doston se agar aap guftugu
rakhte hain dusron ki kahan pas-e-abru
ghibat ki KHu ko aaj hi kar dije aaKH-thu
jo kuchh main kah raha hun use man lijiye
main hun zamir aap ka pahchan lijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.