zara dur chalne ki hasrat rahi hai
zarā duur chalne kī hasrat rahī hai
mohabbat hī sirf zindagī to nahīñ hai
ki tum se alag bhī mohabbat rahī hai
ḳhushī ke liye ghar hī kaafī nahīñ hai
ki ghar se alag kī bhī chāhat rahī hai
zarā duur chalne kī hasrat rahī hai
maiñ vīrāniyoñ kī udāsī kī tanhā.iyoñ kī pasand huuñ
jazīre banātī huuñ phir toḌtī huuñ
maiñ ḳhvāboñ ko ābād kartī bhī huuñ raakh kartī bhī huuñ
maiñ āzād uḌtā parinda huuñ jis ke liye
āsmāñ kī uḌāneñ bhī kam paḌ ga.ī haiñ
zamīñ tham ga.ī hai
charāġhoñ ko jalne kī aadat rahī hai
zarā duur chalne kī hasrat rahī hai
maiñ nādīda ḳhvāboñ kā ehsās huuñ
falak tak jo gūñje vo āvāz huuñ
diloñ tak jo pahuñche maiñ vo saaz huuñ
ghuTan qaid bandish ke ehsās se kore jazbāt se duur huuñ mutma.in
maiñ samundar huuñ bahtī havā aur garajtī huī mauj huuñ
maiñ sikandar columbus huuñ āzād huuñ
kahkashāñ se alag kahkashāñ aur bhī haiñ
jahānoñ meñ kyoñ ḳhud ko maiñ qaid rakkhūñ jahāñ aur bhī haiñ
abhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ
merī fitrat meñ merī tāqat rahī hai
mohabbat hī sirf zindagī to nahīñ hai
ki tum se alag bhī mohabbat rahī hai
zarā duur chalne kī hasrat rahī hai
zara dur chalne ki hasrat rahi hai
mohabbat hi sirf zindagi to nahin hai
ki tum se alag bhi mohabbat rahi hai
KHushi ke liye ghar hi kafi nahin hai
ki ghar se alag ki bhi chahat rahi hai
zara dur chalne ki hasrat rahi hai
main viraniyon ki udasi ki tanhaiyon ki pasand hun
jazire banati hun phir toDti hun
main KHwabon ko aabaad karti bhi hun rakh karti bhi hun
main aazad uDta parinda hun jis ke liye
aasman ki uDanen bhi kam paD gai hain
zamin tham gai hai
charaghon ko jalne ki aadat rahi hai
zara dur chalne ki hasrat rahi hai
main nadida KHwabon ka ehsas hun
falak tak jo gunje wo aawaz hun
dilon tak jo pahunche main wo saz hun
ghuTan qaid bandish ke ehsas se kore jazbaat se dur hun mutmain
main samundar hun bahti hawa aur garajti hui mauj hun
main sikandar columbus hun aazad hun
kahkashan se alag kahkashan aur bhi hain
jahanon mein kyon KHud ko main qaid rakkhun jahan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
meri fitrat mein meri taqat rahi hai
mohabbat hi sirf zindagi to nahin hai
ki tum se alag bhi mohabbat rahi hai
zara dur chalne ki hasrat rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.