farz karo ki saare jānvar baat bhī karte ham se
un ke jo jī meñ aa jaatā kah dete ek dam se
darvāze par kuttā kahtā bhūke haiñ do din ke
koī davā bhī de do dekho makkhī zaḳhm pe bhinke
bāvarchī-ḳhāne meñ chyūñTī shakar māñgtī rahtī
bas do daane bas do daane har phere par kahtī
chiḌiyā uḌte phirte khiḌkī par āvāz lagātī
bachchoñ ke kamre meñ chhup kar daal ke daane khātī
ga.e bail sabzī ke Thele vāloñ se laḌ jaate
DanDe khā kar gāliyāñ bakte dil kī aag bujhāte
billī duudh kā pyāla pakḌe gosht māñgtī rahtī
din bhar leTī daadī jaisī apnī baat hī kahtī
bakre kī qurbānī par kuchh bakre mātam karte
murġhe bhī is majlis meñ muñh laTkā kar ġham karte
saas bahū ke jhagḌe kī chhipkiliyāñ shāhid hotīñ
shauhar kī aamad par saarā qissa vo hī rotīñ
ġharaz ke saarī duniyā meñ ik shor sā barpā rahtā
chup ho jaao chup ho jaao saarā aalam kahtā
farz karo ki sare jaanwar baat bhi karte hum se
un ke jo ji mein aa jata kah dete ek dam se
darwaze par kutta kahta bhuke hain do din ke
koi dawa bhi de do dekho makkhi zaKHm pe bhinke
bawarchi-KHane mein chyunTi shakar mangti rahti
bas do dane bas do dane har phere par kahti
chiDiya uDte phirte khiDki par aawaz lagati
bachchon ke kamre mein chhup kar dal ke dane khati
gae bail sabzi ke Thele walon se laD jate
DanDe kha kar galiyan bakte dil ki aag bujhate
billi dudh ka pyala pakDe gosht mangti rahti
din bhar leTi dadi jaisi apni baat hi kahti
bakre ki qurbani par kuchh bakre matam karte
murghe bhi is majlis mein munh laTka kar gham karte
sas bahu ke jhagDe ki chhipkiliyan shahid hotin
shauhar ki aamad par sara qissa wo hi rotin
gharaz ke sari duniya mein ek shor sa barpa rahta
chup ho jao chup ho jao sara aalam kahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.