zara tum taq par rakhe mohabbat ke diye ko phir jalao
añdherā baḌh rahā hai
añdherā baḌh rahā hai aur
ham donoñ kī āñkheñ bhī
zarā
kam-nūr hotī jā rahī haiñ
is liye aisā karo
ik baar phir se
jo
guzishta ahd meñ va.ade kiye the
mohabbat ke jo naġhme gungunā.e the
vafā ke phuul jo barsā.e the
vo
dhyān meñ laao
chalo ik baar phir
dohrāte haiñ ḳhud ko
suno
ham donoñ kī āñkheñ agar kam-nūr haiñ to kyā
diloñ meñ yaad kā jashn-e-charāġhāñ ham kareñ
is se kam-az-kam raat kāTne ke liye
kuchh raushnī to mil sakegī phir
chalo ham taaq par rakhe mohabbat ke diye ko phir jalāte haiñ
udāsī se hī donoñ muskurāte haiñ
andhera baDh raha hai
andhera baDh raha hai aur
hum donon ki aankhen bhi
zara
kam-nur hoti ja rahi hain
is liye aisa karo
ek bar phir se
jo
guzishta ahd mein wade kiye the
mohabbat ke jo naghme gungunae the
wafa ke phul jo barsae the
wo
dhyan mein lao
chalo ek bar phir
dohraate hain KHud ko
suno
hum donon ki aankhen agar kam-nur hain to kya
dilon mein yaad ka jashn-e-charaghan hum karen
is se kam-az-kam raat kaTne ke liye
kuchh raushni to mil sakegi phir
chalo hum taq par rakhe mohabbat ke diye ko phir jalate hain
udasi se hi donon muskuraate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.