zard kali
mere āñgan meñ jo bele kā hasīñ paudā hai
us meñ do phuul haiñ aur pāñch suhānī kaliyāñ
ik kalī zard hai bīmār hai afsurda hai
un ko chhūtī huī lahrātī hai jab mauj-e-sahar
muskurā uThte haiñ lab raqs meñ aatī hai nazar
yaad aatā hī nahīñ mujh ko mirā zaḳhm-e-jigar
sochtā huuñ ki ye nik.hat hai to phir ġham kyā hai
phuul hañste haiñ to kyoñ sochūñ ki shabnam kyā hai
isī aalam meñ vo bīmār kalī kahtī hai
bāġhbāñ mujh ko bhī ik pyaar kā bosa de do
saaz huuñ laakh shikasta sahī naġhma de do
sham.a huuñ laakh fasurda sahī jalva de do
aur phir bele se ik shor-e-fuġhāñ uThtā hai
mere ḳhushbū-bhare āñgan se dhuāñ uThtā hai
raas phūloñ kā bhī sad-haif na andāz aayā
zindagī chhoḌ de pīchhā mirā maiñ baaz aayā
mere aangan mein jo bele ka hasin pauda hai
us mein do phul hain aur panch suhani kaliyan
ek kali zard hai bimar hai afsurda hai
un ko chhuti hui lahraati hai jab mauj-e-sahar
muskura uThte hain lab raqs mein aati hai nazar
yaad aata hi nahin mujh ko mera zaKHm-e-jigar
sochta hun ki ye nikhat hai to phir gham kya hai
phul hanste hain to kyon sochun ki shabnam kya hai
isi aalam mein wo bimar kali kahti hai
baghban mujh ko bhi ek pyar ka bosa de do
saz hun lakh shikasta sahi naghma de do
shama hun lakh fasurda sahi jalwa de do
aur phir bele se ek shor-e-fughan uThta hai
mere KHushbu-bhare aangan se dhuan uThta hai
ras phulon ka bhi sad-haif na andaz aaya
zindagi chhoD de pichha mera main baz aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.