zarurat-e-iqbaal
kuchh aise ruup meñ aaya hai fitna-e-hāzir
tamīz-e-dostāñ o dushmanāñ bhī mushkil hai
hai phir zarūrat-e-iqbāl tarbiyat ke liye
vagarna qaum par ye imtihāñ bhī mushkil hai
hujūm-e-kam-nazrāñ se haiñ rāste masdūd
dalīl-e-rāh kahāñ ab to kārvāñ bhī nahīñ
taḌap ke gum huī bāñg-e-darā fazāoñ meñ
ki zindagī kā yahāñ duur tak nishāñ bhī nahīñ
ye vo zamīñ to nahīñ tū ne jis ko chāhā thā
yahāñ to phuuT hai nafrat hai ḳhud-parastī hai
ġhanīm-e-shahar kī dīvār tak chalā aaya
idhar ye haal ki aapas kī chīra-dastī hai
nigah buland suḳhan dil-navāz jaañ pur-soz
ham aise rāh-numā ke liye taraste rahe
magar ye apnā muqaddar ki rahzanoñ ke sabab
qadam qadam pe uThā.e fareb-e-zaḳhm sahe
avaam ko rahī fikr-e-ma.āsh har lamha
mudabbiroñ ne bhī chāhā yahī ġhanīmat hai
shu.ūr jaag uThā to ye ham pe faash huā
hamārā daur hai apnī bhī qadr-o-qīmat hai
shu.ūr jaag uThā hai yahī ġhanīmat hai
ḳhudī ke zor se ḳhud iḳhtiyār bhī hoñge
hamārā daur ab aaya is e'timād kī ḳhair
hamāre naam payām-e-bahār bhī hoñge
ham apne chāñd sitāre kī aabrū ke amiiñ
lahū se millat-e-baizā ko raushnī deñge
salām shā.ir-e-mashriq ke shāhkār-e-jamīl
ham apne azm-o-amal kā subūt bhī deñge
kuchh aise rup mein aaya hai fitna-e-hazir
tamiz-e-dostan o dushmanan bhi mushkil hai
hai phir zarurat-e-iqbaal tarbiyat ke liye
wagarna qaum par ye imtihan bhi mushkil hai
hujum-e-kam-nazran se hain raste masdud
dalil-e-rah kahan ab to karwan bhi nahin
taDap ke gum hui bang-e-dara fazaon mein
ki zindagi ka yahan dur tak nishan bhi nahin
ye wo zamin to nahin tu ne jis ko chaha tha
yahan to phuT hai nafrat hai KHud-parasti hai
ghanim-e-shahar ki diwar tak chala aaya
idhar ye haal ki aapas ki chira-dasti hai
nigah buland suKHan dil-nawaz jaan pur-soz
hum aise rah-numa ke liye taraste rahe
magar ye apna muqaddar ki rahzanon ke sabab
qadam qadam pe uThae fareb-e-zaKHm sahe
awam ko rahi fikr-e-maash har lamha
mudabbiron ne bhi chaha yahi ghanimat hai
shuur jag uTha to ye hum pe fash hua
hamara daur hai apni bhi qadr-o-qimat hai
shuur jag uTha hai yahi ghanimat hai
KHudi ke zor se KHud iKHtiyar bhi honge
hamara daur ab aaya is e'timad ki KHair
hamare nam payam-e-bahaar bhi honge
hum apne chand sitare ki aabru ke amin
lahu se millat-e-baiza ko raushni denge
salam shair-e-mashriq ke shahkar-e-jamil
hum apne azm-o-amal ka subut bhi denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.