zawal
bah ga.e āñsūoñ meñ ḳhvāb mire
mere ham-rāz-o-ġham-gusār-o-jalīs
merī āñkheñ bujhī bujhī sī haiñ
merī palkeñ jhukī jhukī sī haiñ
merī sāñseñ rukī rukī sī haiñ
mujh ko āvāz ab nahīñ aatī
duur jangal se jis kī lai par maiñ
raqs kartā thā giit buntā thā
zindagānī se roz laḌtā thā
shaam jiitā thā sub.h martā thā
ab vo lamhe kahāñ se lā.ūñ maiñ
kaise rātoñ ko ab sajā.ūñ maiñ
giit fardā ke kaise gā.ūñ maiñ
bah ga.e āñsūoñ meñ ḳhvāb mire
mere ham-rāz-o-ġham-gusār-o-jalīs
bah gae aansuon mein KHwab mere
mere ham-raaz-o-gham-gusar-o-jalis
meri aankhen bujhi bujhi si hain
meri palken jhuki jhuki si hain
meri sansen ruki ruki si hain
mujh ko aawaz ab nahin aati
dur jangal se jis ki lai par main
raqs karta tha git bunta tha
zindagani se roz laDta tha
sham jita tha subh marta tha
ab wo lamhe kahan se laun main
kaise raaton ko ab sajaun main
git farda ke kaise gaun main
bah gae aansuon mein KHwab mere
mere ham-raaz-o-gham-gusar-o-jalis
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.