zeyabetis ke mariz
Interesting Fact
The nazm was recited on 19 August 1983 at the annual function of "Diabetes Club".
vo marīzān-e-zeyabetis jo aa.e haiñ yahāñ
un meñ bachche bhī haiñ shāmil aur būḌhe aur javāñ
is zamāne meñ ki jab hai mulk meñ har shai girāñ
ye banāte haiñ shakar baḌhtī haiñ jis se talḳhiyāñ
ḳhuun kī nalyoñ meñ cholestrol baḌh jaa.e agar
''phūl kī pattī se kaT saktā hai hiire kā jigar''
ḳhuun meñ in ke shakar hai shukr karte haiñ magar
ye duā dete haiñ 'insulin' ko shaam o sahar
'carbohydrate' aa jaate haiñ jis shai meñ nazar
khāne piine meñ kiyā karte haiñ ye us se hazar
ye jo mīThe ḳhuun vaale haiñ inheñ ma.alūm hai
''pencriatic juice'' meñ se in ke kuchh ma.adūm hai
ye namak-ḳhvārān-e-millat jab kahīñ piite haiñ chaa.e
''āgahī dām-e-shunīdan jis qadar chāhe bichhā.e''
Dālte haiñ ye ''swētics'' is meñ chīnī kī bajā.e
jis ko apnī jaan piyārī ho shakar kas tarah khaa.e
ye haiñ vo farhād jo shīrīñ se apnī duur haiñ
hai zeyabetis vo baḌhiyā jis se ye majbūr haiñ
ye jo bachche haiñ zeyabetis ke ġham meñ mubtalā
yā ilāhī in kī gaaḌī umar kī aise chalā
in ke qaabū aa ke dab jaa.e maraz kī ye balā
bach rahegā ehtiyātoñ meñ agar rah kar palā
shart ye hai zindagī meñ nazm ho aur inzibāt
ehtiyāt aur ehtiyāt aur ehtiyāt aur ehtiyāt
ho zeyabetis jise us kī davā parhez hai
hai rafīq-e-zindagī ye dukh jo dard-āmez hai
is kā phir virse meñ milnā bhī ta.ajjub-ḳhez hai
ḳhāndānī qism kā dukh hai hazar-añgez hai
varna mīThā ḳhuuñ agar rag meñ ravāñ ho jā.egā
''dostī nādāñ kī hai, jī kā ziyāñ ho jā.egā''
wo marizan-e-zeyabetis jo aae hain yahan
un mein bachche bhi hain shamil aur buDhe aur jawan
is zamane mein ki jab hai mulk mein har shai giran
ye banate hain shakar baDhti hain jis se talKHiyan
KHun ki nalyon mein cholestrol baDh jae agar
phul ki patti se kaT sakta hai hire ka jigar
KHun mein in ke shakar hai shukr karte hain magar
ye dua dete hain 'insulin' ko sham o sahar
'carbohydrate' aa jate hain jis shai mein nazar
khane pine mein kiya karte hain ye us se hazar
ye jo miThe KHun wale hain inhen malum hai
pencriatic juice mein se in ke kuchh madum hai
ye namak-KHwaran-e-millat jab kahin pite hain chae
aagahi dam-e-shunidan jis qadar chahe bichhae
Dalte hain ye sweetics is mein chini ki bajae
jis ko apni jaan piyari ho shakar kas tarah khae
ye hain wo farhad jo shirin se apni dur hain
hai zeyabetis wo baDhiya jis se ye majbur hain
ye jo bachche hain zeyabetis ke gham mein mubtala
ya ilahi in ki gaDi umar ki aise chala
in ke qabu aa ke dab jae maraz ki ye bala
bach rahega ehtiyaton mein agar rah kar pala
shart ye hai zindagi mein nazm ho aur inzibaat
ehtiyat aur ehtiyat aur ehtiyat aur ehtiyat
ho zeyabetis jise us ki dawa parhez hai
hai rafiq-e-zindagi ye dukh jo dard-amez hai
is ka phir wirse mein milna bhi tajjub-KHez hai
KHandani qism ka dukh hai hazar-angez hai
warna miTha KHun agar rag mein rawan ho jaega
dosti nadan ki hai, ji ka ziyan ho jaega
- Book : Teer-e-Neem Kash (Pg. 148)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Sang-e-Meel Publications, Lahore (P.k.) (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.