zinda aadmi se kalam
kabhī vaqt kī saañs meñ
hoñT uljhā ke dekhe haiñ tum ne
ki is bad-gumāñ mausamoñ ke muġhannī kī tāneñ
nihāñ ḳhāna-e-dil meñ
gahrī ḳhamoshī kī haibat girātī chalī jā rahī haiñ
azal se abad tak bipharte hue
sail-e-be-mā.igī meñ kabhī
dil ukhaḌte hue shahr girte hue
dekh paa.e ho tum
kabhī bhīge bhīge se dīvār-o-dar meñ
ki bachpan kī galiyoñ makānoñ meñ
bārish kī āvāz se dil dahalte hue
kisī mushtarak ḳhauf kī āhaToñ se
dhaḌakte hue bām-o-dar aur ziine
musalsal havā aur bārish kī āvāz chaltī huī
kabhī muñh-añdhere kī taqdīs meñ
duur se aatī gaaḌī kī siiTī ko sunte hue
tum ne sochā hai un ke liye
jin ke qadmoñ meñ manzil
musalsal azaab aur ḳhvāboñ se ta.abīr tak duur hai
kabhī shaam kī sansanātī havā meñ
ThiThurtī ḳhamoshī kī sahmī sadā sun ke
darvāza kholā hai un ke liye
jin ke hāthoñ kī larzish meñ dastak nahīñ
mujhe pūchhnā hai
ki khulte hue phuul chaltī havā
aur guzre mah-o-sāl kī dastakoñ par
na ho sakne vāloñ pe aañsū bahā.e haiñ tum ne
ki maiñ
raat kī ek hichkī meñ Thahrī huī saañs huuñ
aur tumhārī ghanī niiñd ke bāzuoñ se
phisaltā huā lams huuñ
kabhi waqt ki sans mein
honT uljha ke dekhe hain tum ne
ki is bad-guman mausamon ke mughanni ki tanen
nihan KHana-e-dil mein
gahri KHamoshi ki haibat giraati chali ja rahi hain
azal se abad tak bipharte hue
sail-e-be-maigi mein kabhi
dil ukhaDte hue shahr girte hue
dekh pae ho tum
kabhi bhige bhige se diwar-o-dar mein
ki bachpan ki galiyon makanon mein
barish ki aawaz se dil dahalte hue
kisi mushtarak KHauf ki aahaTon se
dhaDakte hue baam-o-dar aur zine
musalsal hawa aur barish ki aawaz chalti hui
kabhi munh-andhere ki taqdis mein
dur se aati gaDi ki siTi ko sunte hue
tum ne socha hai un ke liye
jin ke qadmon mein manzil
musalsal azab aur KHwabon se tabir tak dur hai
kabhi sham ki sansanati hawa mein
ThiThurti KHamoshi ki sahmi sada sun ke
darwaza khola hai un ke liye
jin ke hathon ki larzish mein dastak nahin
mujhe puchhna hai
ki khulte hue phul chalti hawa
aur guzre mah-o-sal ki dastakon par
na ho sakne walon pe aansu bahae hain tum ne
ki main
raat ki ek hichki mein Thahri hui sans hun
aur tumhaari ghani nind ke bazuon se
phisalta hua lams hun
- Book : Aakhrii Din Se pehle (Pg. 84)
- Author : Abrar Ahmed
- Publication : Tahir Aslam Gora, Gora Publishers (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.