zindagani ka KHala
zindagānī kā ḳhalā
ye na bhar paayā kabhī
lāla-o-gul ko kabhī pyaar kiyā
rāt-bhar tāroñ ko bedār kiyā
kam na hotī thī magar dil kī kasak
dil kā ġham āñkhoñ se barsāyā kabhī
ye na bhar paayā kabhī
zindagānī kā ḳhalā
bhar liyā us meñ kabhī dard-e-chaman
kabhī be-nām maqāsid kī lagan
jin se ehsās bhī jaatā thā bahak
shīsha-e-dil ko bhī chhalkāyā kabhī
ye na bhar paayā kabhī
zindagānī kā ḳhalā
fan kī devī ne bhī barsā.ī sharāb
vaqt kī mauj ne pheñke dur-e-nāb
jin se aa.ī mire ḳhvāboñ meñ chamak
jī zarā un se bhī bahlāyā kabhī
ye na bhar paayā kabhī
zindagānī kā ḳhalā
zindagani ka KHala
ye na bhar paya kabhi
lala-o-gul ko kabhi pyar kiya
raat-bhar taron ko bedar kiya
kam na hoti thi magar dil ki kasak
dil ka gham aankhon se barsaya kabhi
ye na bhar paya kabhi
zindagani ka KHala
bhar liya us mein kabhi dard-e-chaman
kabhi be-nam maqasid ki lagan
jin se ehsas bhi jata tha bahak
shisha-e-dil ko bhi chhalkaya kabhi
ye na bhar paya kabhi
zindagani ka KHala
fan ki dewi ne bhi barsai sharab
waqt ki mauj ne phenke dur-e-nab
jin se aai mere KHwabon mein chamak
ji zara un se bhi bahlaya kabhi
ye na bhar paya kabhi
zindagani ka KHala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.