zindagi apna faisla KHud likhegi
ham apnī barahnagī chhupāte phirte haiñ
aisī hālat meñ ta.āruf kā falsafa
dīvāngī meñ baḌbaḌānā hotā hai
bikhrī chīzoñ ke ambār meñ
kis kis kā rutba yaad rakhte
ham ne marzī kī tartīb banā lī
ḳhushbū kā ehtimām kahāñ se karte
badbū hameñ zyāda pur-tapākī se milī
ham apne hī jismoñ ko chhū kar ḳhush ho jaane vaale
saḌāñd detī chīzoñ se safā.ī maañg rahe haiñ
hamāre gharoñ kī chhatoñ par be-āvāz bārish hotī hai
ham jhulaste kamroñ meñ
paanī ke ḳhvāb dekhne ke liye
apne bistaroñ se duur jā ke sote haiñ
hamārī āñkhoñ ke shīshoñ meñ niiñd nahīñ
maut aa ke apnā chehra dekhtī hai
ham vo ukhḌe rāste haiñ
jis ko gird ke pahre-dāroñ ne hamvār nahīñ hone diyā
hamārī tavīl sarguzisht meñ takrār hī takrār hai
hameñ sirf ek ruḳh vaale safhe par tahrīr kiyā gayā
jo apne pahle hisse se aa miltā hai
hum apni barahnagi chhupate phirte hain
aisi haalat mein taaruf ka falsafa
diwangi mein baDbaDana hota hai
bikhri chizon ke ambar mein
kis kis ka rutba yaad rakhte
hum ne marzi ki tartib bana li
KHushbu ka ehtimam kahan se karte
badbu hamein zyaada pur-tapaki se mili
hum apne hi jismon ko chhu kar KHush ho jaane wale
saDand deti chizon se safai mang rahe hain
hamare gharon ki chhaton par be-awaz barish hoti hai
hum jhulaste kamron mein
pani ke KHwab dekhne ke liye
apne bistaron se dur ja ke sote hain
hamari aankhon ke shishon mein nind nahin
maut aa ke apna chehra dekhti hai
hum wo ukhDe raste hain
jis ko gird ke pahre-daron ne hamwar nahin hone diya
hamari tawil sarguzisht mein takrar hi takrar hai
hamein sirf ek ruKH wale safhe par tahrir kiya gaya
jo apne pahle hisse se aa milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.