zindagi chehra mangti hai
aaj zindagī kī tārīḳh thī
aur vo us ke sāmne chīḳh rahī thī
jis ne ā.ankhoñ par siyāh paTTī bāñdh rakhī thī
''ab maiñ be-chehra kaise jiyūñ?
maiñ ne to apnā chehra kaaT kaaT kar
be-chehra nasloñ meñ baañT diyā
merī kor-chashmī gavāh hai
ki maiñ ne apne sabhī manzar
be-manzar ā.ankhoñ ko de diye
merī tamām ḳhvāhisheñ na.ī nasl ne bech kar
apnī ārzueñ ḳharīd liiñ
hañsne ke liye mere paas ab hoñT nahīñ haiñ
nasloñ ko dhuup se bachāte bachāte
jab sar meñ chāñdī ug aatī hai
to nasloñ ke ḳhuun meñ safedī kyuuñ dauḌne lagtī hai?
har taraf mere hī diye hue chehre ghuum rahe haiñ
aur maiñ apnā chehra DhūñD rahī huuñ
āḳhir be-chehra ho kar kaise jiyā jā saktā hai?''
magar us kī ā.ankhoñ par to paTTī bañdhī thī
vo kaise be-chehra zindagī ko dekhtā?
is ke haath se juḌā tarāzū kāñpne lagā
us ke paas na.e chehre nahīñ the
aur us ne zindagī ko ek lambī peshī de dī
aaj zindagi ki tariKH thi
aur wo us ke samne chiKH rahi thi
jis ne aaankhon par siyah paTTi bandh rakhi thi
ab main be-chehra kaise jiyun?
main ne to apna chehra kaT kaT kar
be-chehra naslon mein banT diya
meri kor-chashmi gawah hai
ki main ne apne sabhi manzar
be-manzar aaankhon ko de diye
meri tamam KHwahishen nai nasl ne bech kar
apni aarzuen KHarid lin
hansne ke liye mere pas ab honT nahin hain
naslon ko dhup se bachate bachate
jab sar mein chandi ug aati hai
to naslon ke KHun mein safedi kyun dauDne lagti hai?
har taraf mere hi diye hue chehre ghum rahe hain
aur main apna chehra DhunD rahi hun
aaKHir be-chehra ho kar kaise jiya ja sakta hai?
magar us ki aaankhon par to paTTi bandhi thi
wo kaise be-chehra zindagi ko dekhta?
is ke hath se juDa taraazu kanpne laga
us ke pas nae chehre nahin the
aur us ne zindagi ko ek lambi peshi de di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.