zindagi
ik ḳhasta-hāl kuTiyā meñ
zindagī ḳhāmosh sang kī mānind
bujhī-bujhī āñkheñ
na ḳhvāb na ḳhvāhish
na dil meñ dard kī ḳhushbū
na hoñT par naġhme
udaas fazā
‘ifrīt ke saa.e haiñ
abābīloñ ke jism se chipkī
ye raat chaltī hai
aur shabnam bhī
āñsuoñ kī qindīleñ
sajā kar raah taktī hai
tamām pagDanDī
jugnūoñ se ḳhālī hai
zard patte bhī
ḳhāmushī meñ lipTe haiñ
aur raahī hai ki ek muddat se
idhar nahīñ aaya
ek KHasta-haal kuTiya mein
zindagi KHamosh sang ki manind
bujhi-bujhi aankhen
na KHwab na KHwahish
na dil mein dard ki KHushbu
na honT par naghme
udas faza
‘ifrit ke sae hain
ababilon ke jism se chipki
ye raat chalti hai
aur shabnam bhi
aansuon ki qindilen
saja kar rah takti hai
tamam pagDanDi
jugnuon se KHali hai
zard patte bhi
KHamushi mein lipTe hain
aur rahi hai ki ek muddat se
idhar nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.