zindagi
‘itr-o-kāfūr kī
ḳhushbūoñ meñ basā
ek maġhmūm jhoñkā havā kā baḌhā
aur mirī saañs se aa ke Takrā gayā
merī nazreñ uThīñ
chand kāñdhoñ pe rakkhā thā bār-e-garāñ
ek raahī 'adam kī taraf thā ravāñ
karbnākī kī barq-e-tapāñ al-amāñ
merī ik ek rag meñ utartī ga.ī
chashm tar ho ga.ī
zindagī kā ye anjām hai kyā kahūñ
zindagī ke liye log marte haiñ kyoñ
maut hai.at-fazā raqs kartī rahī
zindagī tābnākī ke sāmāñ liye
muskurātī rahī
fard kī maut se zindagī to kabhī ḳhatm hotī nahīñ
ḳhatm hotī nahīñ
‘itr-o-kafur ki
KHushbuon mein basa
ek maghmum jhonka hawa ka baDha
aur meri sans se aa ke Takra gaya
meri nazren uThin
chand kandhon pe rakkha tha bar-e-garan
ek rahi 'adam ki taraf tha rawan
karbnaki ki barq-e-tapan al-aman
meri ek ek rag mein utarti gai
chashm tar ho gai
zindagi ka ye anjam hai kya kahun
zindagi ke liye log marte hain kyon
maut haiat-faza raqs karti rahi
zindagi tabnaki ke saman liye
muskuraati rahi
fard ki maut se zindagi to kabhi KHatm hoti nahin
KHatm hoti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.