zindagi
tamtamā.e hue aariz pe ye ashkoñ kī qatār
mujh se is darja ḳhafā aap se itnī bezār
maiñ ne kab terī mohabbat se kiyā hai inkār
mujh ko ik lamha kabhī chain bhī aayā tujh bin
ishq hī ek haqīqat to nahīñ hai lekin
zindagī sirf mohabbat to nahīñ hai anjum
soch duniyā se alag bhaag ke jā.eñge kahāñ
apnī jannat bhī basā.eñ to basā.eñge kahāñ
amn is ālam-e-afkār meñ pā.eñge kahāñ
phir zamāne se nigāhoñ kā churānā kaisā
ishq kī zid meñ farā.ez ko bhulānā kaisā
zindagī sirf mohabbat to nahīñ hai anjum
tīr-e-iflās se kitnoñ ke kaleje haiñ figār
kitne sīnoñ meñ hai ghuTtī huī aahoñ kā ġhubār
kitne chehre nazar aate haiñ tabassum kā mazār
ik nazar bhuul ke us samt bhī dekhā hotā
kuchh mohabbat ke sivā aur bhī sochā hotā
zindagī sirf mohabbat to nahīñ hai anjum
rañj-e-ġhurbat ke sivā jabr ke pahlū bhī to haiñ
jo Tapakte nahīñ āñkhoñ se vo aañsū bhī to haiñ
zaḳhm khaa.e hue mazdūr ke baazū bhī to haiñ
ḳhaak aur ḳhuun meñ ġhaltāñ haiñ nazāre kitne
qalb-e-insāñ meñ dahakte haiñ sharāre kitne
zindagī sirf mohabbat to nahīñ hai anjum
arsa-e-dahr pe sarmāya o mehnat kī ye jañg
amn o tahzīb ke ruḳhsār se uḌtā huā rañg
ye hukūmat ye ġhulāmī ye baġhāvat kī umañg
qalb-e-ādam ke ye riste hue kohna nāsūr
apne ehsās se hai fitrat-e-insāñ majbūr
zindagī sirf mohabbat to nahīñ hai anjum
aap ko band ġhulāmī se chhuḌānā hai hameñ
ḳhud mohabbat ko bhī āzād banānā hai hameñ
ik na.ī tarz pe duniyā ko sajānā hai hameñ
tū bhī aa vaqt ke siine meñ sharārā ban jā
tū bhī ab arsh-e-baġhāvat kā sitārā ban jā
zindagī sirf mohabbat to nahīñ hai anjum
tamtamae hue aariz pe ye ashkon ki qatar
mujh se is darja KHafa aap se itni bezar
main ne kab teri mohabbat se kiya hai inkar
mujh ko ek lamha kabhi chain bhi aaya tujh bin
ishq hi ek haqiqat to nahin hai lekin
zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum
soch duniya se alag bhag ke jaenge kahan
apni jannat bhi basaen to basaenge kahan
amn is aalam-e-afkar mein paenge kahan
phir zamane se nigahon ka churana kaisa
ishq ki zid mein faraez ko bhulana kaisa
zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum
tir-e-iflas se kitnon ke kaleje hain figar
kitne sinon mein hai ghuTti hui aahon ka ghubar
kitne chehre nazar aate hain tabassum ka mazar
ek nazar bhul ke us samt bhi dekha hota
kuchh mohabbat ke siwa aur bhi socha hota
zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum
ranj-e-ghurbat ke siwa jabr ke pahlu bhi to hain
jo Tapakte nahin aankhon se wo aansu bhi to hain
zaKHm khae hue mazdur ke bazu bhi to hain
KHak aur KHun mein ghaltan hain nazare kitne
qalb-e-insan mein dahakte hain sharare kitne
zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum
arsa-e-dahr pe sarmaya o mehnat ki ye jang
amn o tahzib ke ruKHsar se uDta hua rang
ye hukumat ye ghulami ye baghawat ki umang
qalb-e-adam ke ye riste hue kohna nasur
apne ehsas se hai fitrat-e-insan majbur
zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum
aap ko band ghulami se chhuDana hai hamein
KHud mohabbat ko bhi aazad banana hai hamein
ek nai tarz pe duniya ko sajaana hai hamein
tu bhi aa waqt ke sine mein sharara ban ja
tu bhi ab arsh-e-baghawat ka sitara ban ja
zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 203)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.