zindagi ke afsane
sub.h kā javāñ sūraj
chahchahe parindoñ ke
aañkh kholtī kaliyāñ
hañste khelte bachche
zindagī kī raunaq haiñ
zindagī ke mele meñ
har ḳhushī unhīñ se hai
un kī muskurāhaT se
chāñdnī bikhartī hai
dilhanoñ sī ye dhartī
aur bhī nikhartī hai
bhar ke maañg meñ taare
raat bhar se aatī hai
dard-o-ġham ke māroñ ko
god meñ sulātī hai
shab ke ḳhatm hote hī
phir saverā hotā hai
phir vahī hasīñ manzar
dil ke daaġh dhotā hai
sub.h kā javāñ sūraj
chahchahe parindoñ ke
aañkh kholtī kaliyāñ
hañste khelte bachche
phir javāñ javāñ mahfil
pur diloñ ke paimāne
vaqt roz likhtā hai
zindagī ke afsāne
subh ka jawan suraj
chahchahe parindon ke
aankh kholti kaliyan
hanste khelte bachche
zindagi ki raunaq hain
zindagi ke mele mein
har KHushi unhin se hai
un ki muskurahaT se
chandni bikharti hai
dilhanon si ye dharti
aur bhi nikharti hai
bhar ke mang mein tare
raat bhar se aati hai
dard-o-gham ke maron ko
god mein sulati hai
shab ke KHatm hote hi
phir sawera hota hai
phir wahi hasin manzar
dil ke dagh dhota hai
subh ka jawan suraj
chahchahe parindon ke
aankh kholti kaliyan
hanste khelte bachche
phir jawan jawan mahfil
pur dilon ke paimane
waqt roz likhta hai
zindagi ke afsane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.