zindagi KHwab mein runuma hone wala koi hadisa to nahin
zindagi KHwab mein runuma hone wala koi hadisa to nahin
Noon Meem Danish
MORE BYNoon Meem Danish
zindagī ḳhvāb meñ rūnumā hone vaalā koī
hādisa to nahīñ hai
ki jis ke na hone aur hone kā ehsās bhī
sub.h kī dhuup meñ kumhlā jaa.e
phir us ke hone kī koī aziyyat
na us ke na hone kā dukh
apne chehre kī gahrī lakīroñ meñ
ik tajrabe kā nishān ban ke zinda rahe
zindagī ḳhvāb meñ rūnumā hone vaalā
koī hādisa to nahīñ hai
jo socho to hai
aur na socho nahīñ hai
zindagī aa.ina hai
ki jaise hī ham ko
koī lamha chhū ke guzar jaatā hai
lams kī gahrī hiddat se
vo lamha
chehre par apne nishān chhoḌ jaatā hai
lamhe guzarte haiñ
chehre pe bhī lams ke ye nishāñ baḌhte jaate haiñ
ik vaqt aatā hai
vo saare lamhe
jo dar-asl sab sānahe haiñ
jo ham par guzarte haiñ
ā.īne pe naqsh ho jaate haiñ
aur ā.īne meñ
jhurriyoñ ke sivā
kuchh nazar tak bhī aatā nahīñ
zindagī ḳhvāb meñ rūnumā hone vaalā koī
hādisa to nahīñ hai
ki jis ke na hone aur hone kā ehsās bhī
sub.h tak na rahe
zindagi KHwab mein runuma hone wala koi
hadisa to nahin hai
ki jis ke na hone aur hone ka ehsas bhi
subh ki dhup mein kumhla jae
phir us ke hone ki koi aziyyat
na us ke na hone ka dukh
apne chehre ki gahri lakiron mein
ek tajrabe ka nishan ban ke zinda rahe
zindagi KHwab mein runuma hone wala
koi hadisa to nahin hai
jo socho to hai
aur na socho nahin hai
zindagi aaina hai
ki jaise hi hum ko
koi lamha chhu ke guzar jata hai
lams ki gahri hiddat se
wo lamha
chehre par apne nishan chhoD jata hai
lamhe guzarte hain
chehre pe bhi lams ke ye nishan baDhte jate hain
ek waqt aata hai
wo sare lamhe
jo dar-asl sab sanahe hain
jo hum par guzarte hain
aaine pe naqsh ho jate hain
aur aaine mein
jhurriyon ke siwa
kuchh nazar tak bhi aata nahin
zindagi KHwab mein runuma hone wala koi
hadisa to nahin hai
ki jis ke na hone aur hone ka ehsas bhi
subh tak na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.