zindagi ki kitab ka aaKHri safha
dekhte hī dekhte kashtī zamīn se jā milī
abhī to aur samundar Dhonā thā
raat bahut taḌpī zamīn pe maiñ
maañ ḳhāmoshī se baiThī bujh rahī thī
zindagī ke haath piile kar hī duuñ kyā bharosa is kuḌī kā
maiñ bhī to rang rang uḌtī phirī ḳhalāoñ meñ
aañkh ghuT ke rah ga.ī hai
maut qahqaha lagānā chāhtī hai
lekin mere paas vaqt aur hañsī kam hai
badan se dil ukhaḌ gayā hai
be-ḳhabarī ThanDe qadam chalne lagī hai
aur vo baal khole mujhe bulā rahī hai
dekhte hi dekhte kashti zamin se ja mili
abhi to aur samundar Dhona tha
raat bahut taDpi zamin pe main
man KHamoshi se baiThi bujh rahi thi
zindagi ke hath pile kar hi dun kya bharosa is kuDi ka
main bhi to rang rang uDti phiri KHalaon mein
aankh ghuT ke rah gai hai
maut qahqaha lagana chahti hai
lekin mere pas waqt aur hansi kam hai
badan se dil ukhaD gaya hai
be-KHabari ThanDe qadam chalne lagi hai
aur wo baal khole mujhe bula rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.