zindagi
zamīñ ghūmtī jā rahī hai
āsmāñ badaltā jā rahā hai
rang-e-shafaq rang-e-hinā rang-e-lahū
sab ek jaise ho ga.e haiñ
duniyā ke ek kone se dūsre kone tak
lahū kī bārish ho rahī hai
ujaḌte ghar uchhalte sar
umaDte aañsū ubalte naale
be-gor-o-kafan lāsheñ
suunī māñgeñ ujaḌtī kokheñ
kahīñ amal kahīñ radd-e-amal
ye hangāma ai ḳhudā kyā hai
terī ḳhūbsūrat kā.enāt ko
āḳhir kis kī nazar lagī hai
ye aag kab bujhegī
ye raqs-e-junūñ kab tak rahegā
mere mālik
apnī dānish-varī ke zo'm meñ bahakte achchhe logoñ ko
aur un se nabard-āzmā nek bandoñ ko
amn kī sīdhī raah batā
un ko dil ke daaġh dikhā
jiine kā andāz sikhā
zamin ghumti ja rahi hai
aasman badalta ja raha hai
rang-e-shafaq rang-e-hina rang-e-lahu
sab ek jaise ho gae hain
duniya ke ek kone se dusre kone tak
lahu ki barish ho rahi hai
ujaDte ghar uchhalte sar
umaDte aansu ubalte nale
be-gor-o-kafan lashen
suni mangen ujaDti kokhen
kahin amal kahin radd-e-amal
ye hangama ai KHuda kya hai
teri KHubsurat kaenat ko
aaKHir kis ki nazar lagi hai
ye aag kab bujhegi
ye raqs-e-junun kab tak rahega
mere malik
apni danish-wari ke zo'm mein bahakte achchhe logon ko
aur un se nabard-azma nek bandon ko
amn ki sidhi rah bata
un ko dil ke dagh dikha
jine ka andaz sikha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.