zindagi
zindagī kī jeb meñ chand
khanakte sikke haiñ jin se vo
mere liye ḳhushī nahīñ ḳharīd
saktī zindagī mere kandhe se
haath laTkā.ī huī mujhe dilāse
de rahī hai magar vo mere
chehre par muskurāhaT laane meñ
nākām hai vo ab merī muskurātī
huī shakl kī painting banānā
chāhtī hai lekin muskurāhaT
canvas se bahut duur kā mu'āmla hai
har sub.h jab sūraj raat ke
tavīl safar ke baa'd logoñ ko
ye batāne mashriq se tulū' hotā hai
ke muskurāhaToñ bharī zindagī kā
ek aur din tumheñ mubārak
tab zindagī mere gaal par bosa
de kar nikal paḌtī hai merī
khoī huī muskurāhaT kī talāsh meñ
din-bhar kī mehnat ke baa'd
chand khanakte sikkoñ se ḳhushiyāñ
aur muskurāhaTeñ nahīñ ḳharīdī jā saktīñ
zindagī terā shukriya
zindagi ki jeb mein chand
khanakte sikke hain jin se wo
mere liye KHushi nahin KHarid
sakti zindagi mere kandhe se
hath laTkai hui mujhe dilase
de rahi hai magar wo mere
chehre par muskurahaT lane mein
nakaam hai wo ab meri muskuraati
hui shakl ki painting banana
chahti hai lekin muskurahaT
canwas se bahut dur ka mu'amla hai
har subh jab suraj raat ke
tawil safar ke ba'd logon ko
ye batane mashriq se tulu' hota hai
ke muskurahaTon bhari zindagi ka
ek aur din tumhein mubarak
tab zindagi mere gal par bosa
de kar nikal paDti hai meri
khoi hui muskurahaT ki talash mein
din-bhar ki mehnat ke ba'd
chand khanakte sikkon se KHushiyan
aur muskurahaTen nahin KHaridi ja saktin
zindagi tera shukriya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.