zindagi
zindagī
mahaz sāñsoñ kā joḌ hī nahīñ
lamhoñ kā khel bhī hai
lamhoñ ke andar ka.ī ka.ī lamhe
kuchh ḳhāmosh bolte hue lamhe
kuchh muntashir kuchh muntazir lamhe
lamhoñ ke andar aur bhī ka.ī ka.ī lamhe
kuchh maḳhsūs lamhāt ḳhaas auqāt
kuchh zehn meñ Thahre hue
kuchh haath kī rekhāoñ meñ chhupe hue
ka.ī yādeñ bāteñ mulāqāteñ
haañ mulāqāteñ un moḌoñ se
jahāñ se khulte haiñ
aur bhī ka.ī ka.ī moḌ
maqām pe pahuñchne ke pahle
thak jaate haiñ ka.ī ka.ī moḌ
TuuT jaate haiñ ka.ī ka.ī moḌ
chhūT jaate haiñ ka.ī ka.ī moḌ
vo thake hue moḌ
vo TuuTe hue moḌ
vo chhūTe hue moḌ
simaT jaate haiñ lamhāt meñ auqāt meñ
zehn meñ kahīñ Thahar jaane ko
aur maqām
maqām kabhī miltā bhī hai kyā
koī raah kisī maqām pe pahuñchtī bhī hai kyā
bas rah jaate haiñ lamhe kahīñ zehn meñ
zindagī mahaz sāñsoñ kā joḌ hī nahīñ
lamhoñ kā khel bhī hai
zindagi
mahaz sanson ka joD hi nahin
lamhon ka khel bhi hai
lamhon ke andar kai kai lamhe
kuchh KHamosh bolte hue lamhe
kuchh muntashir kuchh muntazir lamhe
lamhon ke andar aur bhi kai kai lamhe
kuchh maKHsus lamhat KHas auqat
kuchh zehn mein Thahre hue
kuchh hath ki rekhaon mein chhupe hue
kai yaaden baaten mulaqaten
han mulaqaten un moDon se
jahan se khulte hain
aur bhi kai kai moD
maqam pe pahunchne ke pahle
thak jate hain kai kai moD
TuT jate hain kai kai moD
chhuT jate hain kai kai moD
wo thake hue moD
wo TuTe hue moD
wo chhuTe hue moD
simaT jate hain lamhat mein auqat mein
zehn mein kahin Thahar jaane ko
aur maqam
maqam kabhi milta bhi hai kya
koi rah kisi maqam pe pahunchti bhi hai kya
bas rah jate hain lamhe kahin zehn mein
zindagi mahaz sanson ka joD hi nahin
lamhon ka khel bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.