Abdul Aziz Fitrat
Ghazal 31
Nazm 1
Sher-o-Shayari 5
aur bhī kitne tarīqe haiñ bayān-e-ġham ke
muskurātī huī āñkhoñ ko to pur-nam na karo
aur bhi kitne tariqe hain bayan-e-gham ke
muskuraati hui aankhon ko to pur-nam na karo
-
Share this
- See Ghazal
'fitrat' dil-e-kaunain kī dhaḌkan to zarā sun
ye hazrat-e-insāñ hī kī azmat kā bayāñ hai
'fitrat' dil-e-kaunain ki dhaDkan to zara sun
ye hazrat-e-insan hi ki azmat ka bayan hai
-
Share this
- See Ghazal
ham to tire zikr kā hue juzv
tū ne hameñ kis tarah bhulāyā
hum to tere zikr ka hue juzw
tu ne hamein kis tarah bhulaya
-
Share this
- See Ghazal
husn-e-qismat se hamesha 'fitrat'
baḳht bedār rahā ḳhvāboñ meñ
husn-e-qismat se hamesha 'fitrat'
baKHt bedar raha KHwabon mein
-
Share this
- See Ghazal
marnā bhī nahīñ hai apne bas meñ
jiinā bhī azaab ho gayā hai
marna bhi nahin hai apne bas mein
jina bhi azab ho gaya hai
-
Share this
- See Ghazal