Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Abdul Ghafoor Nassakh

1814 - 1889 | West Bengal, India

Prominent poet of classical mould from Nengal, known for his 'Tazkira 'Sukhan-e-Shoara'.

Prominent poet of classical mould from Nengal, known for his 'Tazkira 'Sukhan-e-Shoara'.

Sher of Abdul Ghafoor Nassakh

zāhiran maut hai qazā hai ishq

par haqīqat meñ jāñ-fazāñ hai ishq

zahiran maut hai qaza hai ishq

par haqiqat mein jaan-fazan hai ishq

masjid meñ gar guzar na huā dair sahī

bekār baiThe kyuuñ raheñ ik sair sahī

masjid mein gar guzar na hua dair hi sahi

bekar baiThe kyun rahen ek sair hi sahi

piirī meñ shauq hausla-farsā nahīñ rahā

vo dil nahīñ rahā vo zamāna nahīñ rahā

piri mein shauq hausla-farsa nahin raha

wo dil nahin raha wo zamana nahin raha

un ke dil kudūrat aur baḌhī

zikr kījiye agar safā.ī

un ke dil ki kudurat aur baDhi

zikr kijiye agar safai ka

dil kaun hai ki us se kaheñ rāz-e-ishq ham

tere ḳhayāl se bhī na ham guftugū kareñ

dil kaun hai ki us se kahen raaz-e-ishq hum

tere KHayal se bhi na hum guftugu karen

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now