Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abdullah Javed's Photo'

Abdullah Javed

1931

Poet and author who wrote for children as well as on literary and social issues

Poet and author who wrote for children as well as on literary and social issues

Abdullah Javed

Ghazal 19

Sher-o-Shayari 18

aap ke jaate ham ko lag ga.ī āvārgī

aap ke jaate ham se ghar nahīñ dekhā gayā

aap ke jate hi hum ko lag gai aawargi

aap ke jate hi hum se ghar nahin dekha gaya

is buniyād par kyuuñ na mil jaa.eñ ham

aap tanhā bahut ham akele bahut

is hi buniyaad par kyun na mil jaen hum

aap tanha bahut hum akele bahut

sāhil pe log yūñhī khaḌe dekhte rahe

dariyā meñ ham jo utre to dariyā utar gayā

sahil pe log yunhi khaDe dekhte rahe

dariya mein hum jo utre to dariya utar gaya

tark karnī thī har ik rasm-e-jahāñ

haañ magar rasm-e-vafā rakhnī thī

tark karni thi har ek rasm-e-jahan

han magar rasm-e-wafa rakhni hi thi

zamīñ ko aur ūñchā mat uThāo

zamīñ āsmāñ se sar lagegā

zamin ko aur uncha mat uThao

zamin ka aasman se sar lagega

BOOKS 4

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now