Sher of Abrar Asar
chāhe kitnī bhī añdherī shab ho
dekhnā phir se ujālā hogā
chahe kitni bhi andheri shab ho
dekhna phir se ujala hoga
ḳhatra thā āñdhiy.oñ se magar hā.e-re nasīb
bād-e-sabā charāġh bujhā kar chalī ga.ī
KHatra tha aandhiyon se magar hae-re nasib
baad-e-saba charagh bujha kar chali gai
chaman meñ shor hai bhañvroñ kī chāhat kā bahut lekin
mohabbat gul kī bulbul se hai ḳhāmoshī ke parde meñ
chaman mein shor hai bhanwron ki chahat ka bahut lekin
mohabbat gul ki bulbul se hai KHamoshi ke parde mein
puḳhta agar hai 'azm to socho na dosto
chhoTī sī naav aur samundar vishāl hai
puKHta agar hai 'azm to socho na dosto
chhoTi si naw aur samundar wishaal hai
maiñ agar aa.ina nahīñ hotā
koī mujh se ḳhafā nahīñ hotā
main agar aaina nahin hota
koi mujh se KHafa nahin hota
us ke chehre pe thā namak aisā
aaj tak zā.iqa hai hoñToñ par
us ke chehre pe tha namak aisa
aaj tak zaiqa hai honTon par
na to āftāb kī hai ġharaz na talab mujhe koī chāñd kī
vo charāġh mujh ko 'azīz hai mirī zulmatoñ ko jo nuur de
na to aaftab ki hai gharaz na talab mujhe koi chand ki
wo charagh mujh ko 'aziz hai meri zulmaton ko jo nur de