Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Adeeb Saharanpuri

1920 - 1963 | Karachi, Pakistan

Pre-modern poet, known for blending the best of the classical and the modernist

Pre-modern poet, known for blending the best of the classical and the modernist

Sher of Adeeb Saharanpuri

hazār baar irāda kiye baġhair bhī ham

chale haiñ uTh ke to aksar ga.e usī taraf

hazar bar irada kiye baghair bhi hum

chale hain uTh ke to aksar gae usi ki taraf

manzileñ na bhūleñge rāh-rau bhaTakne se

shauq ko ta.alluq kab hai paañv thakne se

manzilen na bhulenge rah-rau bhaTakne se

shauq ko talluq hi kab hai panw thakne se

apne apne hausloñ apnī talab baat hai

chun liyā ham ne unheñ saarā jahāñ rahne diyā

apne apne hauslon apni talab ki baat hai

chun liya hum ne unhen sara jahan rahne diya

rāhat justujū meñ ḳhushī talāsh meñ

ġham pāltī hai umr-e-gurezāñ na.e na.e

rahat ki justuju mein KHushi ki talash mein

gham palti hai umr-e-gurezan nae nae

bāñdh kar ahd-e-vafā koī gayā hai mujh se

ai mirī umr-e-ravāñ aur zarā āhista

bandh kar ahd-e-wafa koi gaya hai mujh se

ai meri umr-e-rawan aur zara aahista

yahī mahr o maah o anjum ko gila hai mujh se yā-rab

ki unheñ bhī chain miltā jo mujhe qarār hotā

yahi mahr o mah o anjum ko gila hai mujh se ya-rab

ki unhen bhi chain milta jo mujhe qarar hota

ik ḳhalish ko hāsil-e-umr-e-ravāñ rahne diyā

jaan kar ham ne unheñ nā-mehrbāñ rahne diyā

TRANSLATION

As the outcome of the passing age, a disquiet I did retain,

Uncharitable towards me, deliberately I let her remain.

Sagar Akbarabadi

ek KHalish ko hasil-e-umr-e-rawan rahne diya

jaan kar hum ne unhen na-mehrban rahne diya

TRANSLATION

As the outcome of the passing age, a disquiet I did retain,

Uncharitable towards me, deliberately I let her remain.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now