Aftab Iqbal Shamim
Ghazal 31
Nazm 7
Sher-o-Shayari 9
dil aur duniyā donoñ ko ḳhush rakhne meñ
apne-āp se duurī to ho jaatī hai
dil aur duniya donon ko KHush rakhne mein
apne-ap se duri to ho jati hai
-
Share this
- See Ghazal
ishq meñ ye majbūrī to ho jaatī hai
duniyā ġhair-zarūrī to ho jaatī hai
ishq mein ye majburi to ho jati hai
duniya ghair-zaruri to ho jati hai
-
Share this
- See Ghazal
kyā raat ke āshob meñ vo ḳhud se laḌā thā
ā.īne ke chehre pe ḳharāsheñ sī paḌī haiñ
kya raat ke aashob mein wo KHud se laDa tha
aaine ke chehre pe KHarashen si paDi hain
-
Share this
- See Ghazal
lafzoñ meñ ḳhālī jag.heñ bhar lene se
baat adhūrī, puurī to ho jaatī hai
lafzon mein KHali jaghen bhar lene se
baat adhuri, puri to ho jati hai
-
Share this
- See Ghazal
lamha munsif bhī hai mujrim bhī hai majbūrī kā
fā.eda shak kā mujhe de ke barī kar jaa.e
lamha munsif bhi hai mujrim bhi hai majburi ka
faeda shak ka mujhe de ke bari kar jae
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
jab chaahaa KHud ko shaad yaa naashaad kar liyaa apne liye fareb saa iijaad kar liyaa kyaa sochnaa ki shauq kaa anjaam kyaa hu.aa jab iKHtiyaar pesha-e-farhaad kar liyaa KHud se chhupaa ke KHud ko zamaane ke KHauf se ham ne to apne aap ko barbaad kar liyaa thaa ishq kaa havaala nayaa ham ne is liye mazmuun-e-dil ko phir se tab.a-zaad kar liyaa yuu.n bhii panaah-e-saaya ka.Dii dhuup me.n milii aa.nkhe.n jhukaa.ii.n aur tujhe yaad kar liyaa aayaa nayaa shu.uur na.ii uljhano.n ke saath samjhe the ham ki zehn ko aazaad kar liyaa bas ki imaam-e-asr kaa farmaan thaa yahii mu.nh ham ne suu-e-qibla-e-azdaad kar liyaa