Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aftab Shah's Photo'

Aftab Shah

1977 | Sialkot, Pakistan

Aftab Shah

Ghazal 16

Sher-o-Shayari 16

zinda logoñ ko nivāloñ chabāne vaale

merī mayyat pe bhī ā.eñge ḳhudā ḳhair kare

zinda logon ko niwalon sa chabane wale

meri mayyat pe bhi aaenge KHuda KHair kare

  • Share this

ham to ik til pe bas ḳhud ko fanā kar baiThe

aur kitne haiñ jamālāt kahāñ jānte haiñ

hum to ek til pe hi bas KHud ko fana kar baiThe

aur kitne hain jamalat kahan jaante hain

  • Share this

maañg lete haiñ bharose pe ki vo de degā

ham ḳhatā-kār munājāt kahāñ jānte haiñ

mang lete hain bharose pe ki wo de dega

hum KHata-kar munajat kahan jaante hain

  • Share this

nikal gayā jo kahānī se maiñ tumhārī kahīñ

kisī ko kuchh na batāoge marte jāoge

nikal gaya jo kahani se main tumhaari kahin

kisi ko kuchh na bataoge marte jaoge

  • Share this

ye us khel hai jis khel meñ har baar vo yaaro

musalsal haar ke bhī mujh se āḳhir jiit jaatā hai

ye us ka khel hai jis khel mein har bar wo yaro

musalsal haar ke bhi mujh se aaKHir jit jata hai

  • Share this

More Poets From "Sialkot"

 

Recitation

Speak Now