Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aftab Shah's Photo'

Aftab Shah

1977 | Sialkot, Pakistan

Aftab Shah

Ghazal 16

Sher-o-Shayari 16

aap vāqif haiñ mire dost hasīñ lafzoñ se

badle lahjoñ karāmāt kahāñ jānte haiñ

aap waqif hain mere dost hasin lafzon se

badle lahjon ki karamat kahan jaante hain

  • Share this

dar-ba-dar maiñ nahīñ vaqt bhī in rāhoñ par

zaḳhmī ehsās sangat meñ dukhī dikhtā hai

dar-ba-dar main hi nahin waqt bhi in rahon par

zaKHmi ehsas ki sangat mein dukhi dikhta hai

  • Share this

maañg lete haiñ bharose pe ki vo de degā

ham ḳhatā-kār munājāt kahāñ jānte haiñ

mang lete hain bharose pe ki wo de dega

hum KHata-kar munajat kahan jaante hain

  • Share this

shāyad vo chukā hai magar dekh lo kahīñ

chāhat ke imtihān meñ ab tak yahīñ na ho

shayad wo ja chuka hai magar dekh lo kahin

chahat ke imtihan mein ab tak yahin na ho

  • Share this

zinda logoñ ko nivāloñ chabāne vaale

merī mayyat pe bhī ā.eñge ḳhudā ḳhair kare

zinda logon ko niwalon sa chabane wale

meri mayyat pe bhi aaenge KHuda KHair kare

  • Share this

More Poets From "Sialkot"

 

Recitation

Speak Now