Ahmad Faqih
Ghazal 6
Sher-o-Shayari 4
vo jaatā rahā aur maiñ kuchh bol na paayā
chiḌiyoñ ne magar shor sā dīvār pe khīñchā
wo jata raha aur main kuchh bol na paya
chiDiyon ne magar shor sa diwar pe khincha
-
Share this
- See Ghazal
aaj mujhe apnī āñkhoñ se us ke qurb kī ḳhushbū aa.ī
merī nazar se us ne shāyad apne-āp ko dekhā hogā
aaj mujhe apni aankhon se us ke qurb ki KHushbu aai
meri nazar se us ne shayad apne-ap ko dekha hoga
-
Share this
- See Ghazal
ahl-e-ḳhirad ise na samajh pā.eñge 'faqīh'
kuchh mas.ale haiñ māvarā fat.h o shikast se
ahl-e-KHirad ise na samajh paenge 'faqih'
kuchh masale hain mawara fath o shikast se
-
Share this
- See Ghazal
yuuñ dard ne ummīd ke laḌ se mujhe bāñdhā
dariyāoñ ko jis tarah kinārā kare koī
yun dard ne ummid ke laD se mujhe bandha
dariyaon ko jis tarah kinara kare koi
-
Share this
- See Ghazal