Sher of Ahmad Muneeb
baat kuchh yuuñ hai ki kal raat bharī mahfil meñ
us kā jab zikr huā baat badal dī maiñ ne
baat kuchh yun hai ki kal raat bhari mahfil mein
us ka jab zikr hua baat badal di main ne
udāsī muskurātī hai miyāñ tab sher hote haiñ
namī āñkhoñ meñ aatī hai miyāñ tab sher hote haiñ
udasi muskuraati hai miyan tab sher hote hain
nami aankhon mein aati hai miyan tab sher hote hain
kisī gaañv meñ kachche ghar kī chhāñv meñ koī Tahnī
ḳhushī se lahlahātī hai miyāñ tab sher hote haiñ
kisi ganw mein kachche ghar ki chhanw mein koi Tahni
KHushi se lahlahati hai miyan tab sher hote hain
ashk bahne lag ga.e manzar nikharne lag gayā
maiñ tamāshā ban gayā aur ek khiḌkī khul ga.ī
ashk bahne lag gae manzar nikharne lag gaya
main tamasha ban gaya aur ek khiDki khul gai
sūraj sitāre chāñd falak kahkashāñ zamīñ
bas ik nazar meñ dekh liye āsmāñ zamīñ
suraj sitare chand falak kahkashan zamin
bas ek nazar mein dekh liye aasman zamin
kise ḳhabar thī ḳhizāñ qatl-e-ām kar degī
tumhāre naam se khilte hue gulāboñ kā
kise KHabar thi KHizan qatl-e-am kar degi
tumhaare nam se khilte hue gulabon ka