Sher of Ahmad Niyaz Razzaqi
sab rāhoñ meñ kāñTe haiñ
chalte jaanā ek taraf
sab rahon mein kanTe hain
chalte jaana ek taraf
qaid hone ke liye aa to gayā huuñ lekin
qaid ho jā.ūñ to hargiz na rihā.ī denā
qaid hone ke liye aa to gaya hun lekin
qaid ho jaun to hargiz na rihai dena
unheñ kyā pata mushk-o-'ambar hai kyā shai
jo vāqif nahīñ merī urdu zabāñ se
unhen kya pata mushk-o-'ambar hai kya shai
jo waqif nahin meri urdu zaban se
jab se tū markazī ḳhayāl huī
kuchh tabī'at mirī bahāl huī
jab se tu markazi KHayal hui
kuchh tabi'at meri bahaal hui
isī liye to maiñ āñkheñ jhukā.e rahtā huuñ
tirī shabīh na aa.e ḳharāb āñkhoñ meñ
isi liye to main aankhen jhukae rahta hun
teri shabih na aae KHarab aankhon mein
vo ab aate nahīñ dariyā kināre
utarte the jo gahre pāniyoñ meñ
wo ab aate nahin dariya kinare
utarte the jo gahre paniyon mein
ek se phirte haiñ dīvāne jidhar bhī dekho
ab koī farq nahīñ shahr meñ vīrāne meñ
ek se phirte hain diwane jidhar bhi dekho
ab koi farq nahin shahr mein virane mein
maiñ apne talḳh masā.il meñ kho gayā thā kahīñ
ki aaj raat ko phir us ko ḳhvāb meñ dekhā
main apne talKH masail mein kho gaya tha kahin
ki aaj raat ko phir us ko KHwab mein dekha
sūrateñ TūTeñgī lekin aa.ina rah jā.egā
aa.ina gar TuuT jā.egā to kyā rah jā.egā
suraten TuTengi lekin aaina rah jaega
aaina gar TuT jaega to kya rah jaega
dil-sahrā meñ ret sadā uḌtī rahtī hai
kab is se tā'mīr koī darpan kartā hai
dil-sahra mein ret sada uDti rahti hai
kab is se ta'mir koi darpan karta hai
TuuTe hue diloñ kī sadā ho gayā huuñ maiñ
ik haq thā dostī kā adā ho gayā huuñ maiñ
TuTe hue dilon ki sada ho gaya hun main
ek haq tha dosti ka ada ho gaya hun main
vo to patthar hai sar se paañv talak
vo mirī bandagī ko kyā jaane
wo to patthar hai sar se panw talak
wo meri bandagi ko kya jaane
agar mujh ko chhū le vo jān-e-bahār
to dast-e-ḳhizāñ se nikal jā.ūñgā
agar mujh ko chhu le wo jaan-e-bahaar
to dast-e-KHizan se nikal jaunga
sair-e-sāhil ko bahut aate haiñ ujle chehre
tum bhī aa niklo kabhī aa ke ye manzar dekho
sair-e-sahil ko bahut aate hain ujle chehre
tum bhi aa niklo kabhi aa ke ye manzar dekho
pattharoñ par naqsh kartā huuñ maiñ harf-e-īn-o-āñ
kyā pata miT jā.egā yā kuchh banā rah jā.egā
pattharon par naqsh karta hun main harf-e-in-o-an
kya pata miT jaega ya kuchh bana rah jaega