Sher of Ahmad Sagheer Siddiqui
zaḳhm itne haiñ badan par ki kahīñ dard nahīñ
ham bhī pathrāv meñ patthar ke hue jaate haiñ
zaKHm itne hain badan par ki kahin dard nahin
hum bhi pathraw mein patthar ke hue jate hain
kab se maiñ safar meñ huuñ magar ye nahīñ ma.alūm
aane meñ lagā huuñ ki maiñ jaane meñ lagā huuñ
kab se main safar mein hun magar ye nahin malum
aane mein laga hun ki main jaane mein laga hun
ye na dekho ki mire zaḳhm bahut kaarī haiñ
ye batāo ki mirā dushman-e-jāñ kaisā hai
ye na dekho ki mere zaKHm bahut kari hain
ye batao ki mera dushman-e-jaan kaisa hai
suntā hai yahāñ kaun samajhtā hai yahāñ kaun
ye shaġhl-e-suḳhan vaqt-guzārī ke liye hai
sunta hai yahan kaun samajhta hai yahan kaun
ye shaghl-e-suKHan waqt-guzari ke liye hai
koī tasvīr banā le ki tujhe yaad raheñ
tez chaltī hai havā rañg uḌe jaate haiñ
koi taswir bana le ki tujhe yaad rahen
tez chalti hai hawa rang uDe jate hain
kisī sūrat ye nukta-chīniyāñ kuchh rañg to lā.īñ
chalo yuuñ hī sahī ab naam to mash.hūr hai merā
kisi surat ye nukta-chiniyan kuchh rang to lain
chalo yun hi sahi ab nam to mashhur hai mera
chāhe haiñ tamāshā mire andar ka.ī mausam
laao koī sahrā mirī vahshat ke barābar
chahe hain tamasha mere andar kai mausam
lao koi sahra meri wahshat ke barabar
kahāñ maiñ aur kahāñ gosha-nashīnī kā ye elaan
ye saarā silsila mash.hūr hone ke liye thā
kahan main aur kahan gosha-nashini ka ye elan
ye sara silsila mashhur hone ke liye tha
ye kyā kam hai amāma bāñdh kar nikle nahīñ ham
ab is se bhī sivā īmān-dārī kaun kartā
ye kya kam hai amama bandh kar nikle nahin hum
ab is se bhi siwa iman-dari kaun karta
the yahāñ saare amal radd-e-amal ke muhtāj
zindagī bhī hameñ darkār thī marne ke liye
the yahan sare amal radd-e-amal ke muhtaj
zindagi bhi hamein darkar thi marne ke liye
parda jo uThā diyā gayā hai
kyā thā ki chhupā diyā gayā hai
parda jo uTha diya gaya hai
kya tha ki chhupa diya gaya hai
kabhī na badle dil-e-bā-safā ke taur-tarīq
adū milā to use bhī salām karte rahe
kabhi na badle dil-e-ba-safa ke taur-tariq
adu mila to use bhi salam karte rahe
aanā zarā tafrīh rahegī
ik mahfil-e-sadmāt kareñge
aana zara tafrih rahegi
ek mahfil-e-sadmat karenge
charāġh un pe jale the bahut havā ke ḳhilāf
bujhe bujhe haiñ tabhī aaj bām-o-dar mere
charagh un pe jale the bahut hawa ke KHilaf
bujhe bujhe hain tabhi aaj baam-o-dar mere
usī ḳhātir haTā lī hai masā.il se tavajjoh
unheñ thoḌā sā maiñ gambhīr karnā chāhtā huuñ
usi KHatir haTa li hai masail se tawajjoh
unhen thoDa sa main gambhir karna chahta hun
gard kī tarah sar-e-rāhguzar baiThe haiñ
in dinoñ aur hī andāz-e-safar hai apnā
gard ki tarah sar-e-rahguzar baiThe hain
in dinon aur hi andaz-e-safar hai apna
jī-bhar ke sitāre jagmagā.eñ
mahtāb bujhā diyā gayā hai
ji-bhar ke sitare jagmagaen
mahtab bujha diya gaya hai
is ishq meñ na pūchho hāl-e-dil-e-darīda
tum ne sunā to hogā vo sher 'mus.hafī' kā
is ishq mein na puchho haal-e-dil-e-darida
tum ne suna to hoga wo sher 'mushafi' ka
kuchh der meñ ye dil kisī gintī meñ na hogā
betāb bahut rā.e-shumārī ke liye hai
kuchh der mein ye dil kisi ginti mein na hoga
betab bahut rae-shumari ke liye hai
kholīñ vo dar kisī ne bhī kholā na ho jise
koī jidhar na jaa.e udhar jaanā chāhiye
kholin wo dar kisi ne bhi khola na ho jise
koi jidhar na jae udhar jaana chahiye
saarī duniyā se alag vahshat-e-dil hai apnī
ye ki lagtī hai na ghar kī na bayābāñ vaalī
sari duniya se alag wahshat-e-dil hai apni
ye ki lagti hai na ghar ki na bayaban wali
ye kyā ki āshiqī meñ bhī fikr-e-ziyāñ rahe
dāman kā chaak tā-ba-jigar jaanā chāhiye
ye kya ki aashiqi mein bhi fikr-e-ziyan rahe
daman ka chaak ta-ba-jigar jaana chahiye
ham ki ik umr rahe ishva-e-duniyā ke asiir
muddatoñ ba.ad ye kam-zāt samajh meñ aa.ī
hum ki ek umr rahe ishwa-e-duniya ke asir
muddaton baad ye kam-zat samajh mein aai
taḳhlīq ḳhud kiyā thā kal apne meñ ek ghar
ab ghar se ḳhalq chand makīñ kar rahe haiñ ham
taKHliq KHud kiya tha kal apne mein ek ghar
ab ghar se KHalq chand makin kar rahe hain hum
ḳhud apnī zaat se ik muqtadī nikāltā huuñ
maiñ apnā shauq-e-imāmat yūñhī nikāltā huuñ
KHud apni zat se ek muqtadi nikalta hun
main apna shauq-e-imamat yunhi nikalta hun
ishq ik mashġhala-e-jāñ bhī to ho saktā hai
kyā zarūrī hai ki āzār kiyā jaa.e use
ishq ek mashghala-e-jaan bhi to ho sakta hai
kya zaruri hai ki aazar kiya jae use