Sher of Ahmad Shanas
jānkārī khel lafzoñ kā zabāñ kā shor hai
jo bahut kam jāntā hai vo yahāñ shah-zor hai
jaankari khel lafzon ka zaban ka shor hai
jo bahut kam jaanta hai wo yahan shah-zor hai
bahut chhoTā safar thā zindagī kā
maiñ apne ghar ke andar tak na pahuñchā
bahut chhoTa safar tha zindagi ka
main apne ghar ke andar tak na pahuncha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
phuul bāhar hai ki andar hai mire siine meñ
chāñd raushan hai ki maiñ aap hī tābinda huuñ
phul bahar hai ki andar hai mere sine mein
chand raushan hai ki main aap hi tabinda hun
ek bachcha zehn se paisa kamāne kī machine
dūsrā kamzor thā so yarġhamālī ho gayā
ek bachcha zehn se paisa kamane ki machine
dusra kamzor tha so yarghamali ho gaya
phir is ke ba.ad patthar ho gayā ā.ankhoñ kā paanī
jab apne ġham meñ rone se kiyā inkār maiñ ne
phir is ke baad patthar ho gaya aaankhon ka pani
jab apne gham mein rone se kiya inkar main ne
lafzoñ kī dastaras meñ mukammal nahīñ huuñ maiñ
likkhī huī kitāb ke bāhar bhī sun mujhe
lafzon ki dastaras mein mukammal nahin hun main
likkhi hui kitab ke bahar bhi sun mujhe
rafta rafta lafz gūñge ho ga.e
aur gahrī ho ga.iiñ ḳhāmoshiyāñ
rafta rafta lafz gunge ho gae
aur gahri ho gain KHamoshiyan
chāñd meñ darvesh hai jugnū meñ jogī
kaun hai vo aur kis ko khojtā hai
chand mein darwesh hai jugnu mein jogi
kaun hai wo aur kis ko khojta hai
bāhar insānoñ se nafrat hai lekin
ghar meñ Dheroñ bachche paidā karte haiñ
bahar insanon se nafrat hai lekin
ghar mein Dheron bachche paida karte hain
vo mere alāva mujhe chāhtā hai
baḌī muḳhtalif hai kahānī kī sūrat
wo mere alawa mujhe chahta hai
baDi muKHtalif hai kahani ki surat
maiñ ḳhud apne aap se huuñ begāna sā
bastī ke insān bhī mere jaise haiñ
main KHud apne aap se hun begana sa
basti ke insan bhi mere jaise hain
bas us kī pahchān yahī hai
aañkh meñ aañsū bharne vaalā
bas us ki pahchan yahi hai
aankh mein aansu bharne wala
nau-javānoñ kā qabīla us ke pīchhe chal paḌā
jurm kar ke bhāgne vaalā misālī ho gayā
nau-jawanon ka qabila us ke pichhe chal paDa
jurm kar ke bhagne wala misali ho gaya
maiñ baat karne lagā thā ki lafz gūñge hue
luġhat ke dasht meñ kis ko sadā lagā.ūñgā maiñ
main baat karne laga tha ki lafz gunge hue
lughat ke dasht mein kis ko sada lagaunga main
maiñ us kī pahchān huuñ yā vo merī
kyā samjhūñ aur vo samjhā.e kyā kyā
main us ki pahchan hun ya wo meri
kya samjhun aur wo samjhae kya kya
baġhair-e-jism bhī hai jism kā ehsās zinda
ye ḳhushbū bāñTne vaalī havā.eñ bhī qayāmat
baghair-e-jism bhi hai jism ka ehsas zinda
ye KHushbu banTne wali hawaen bhi qayamat
jism bhūkā hai to hai ruuh bhī pyāsī merī
kaam aisā hai ki din raat kā kārinda huuñ
jism bhuka hai to hai ruh bhi pyasi meri
kaam aisa hai ki din raat ka karinda hun
pas-e-ḳhayāl huuñ kitnā zuhūr kitnā huuñ
ḳhabar nahīñ ki abhī ḳhud se duur kitnā huuñ
pas-e-KHayal hun kitna zuhur kitna hun
KHabar nahin ki abhi KHud se dur kitna hun
ġharq kartā hai na detā hai kināra hī mujhe
us ne merī zaat meñ kaisā samundar rakh diyā
gharq karta hai na deta hai kinara hi mujhe
us ne meri zat mein kaisa samundar rakh diya
allāh vaalā ek qabīla merī nisbat
aur maiñ apne naam nasab se nā-vāqif huuñ
allah wala ek qabila meri nisbat
aur main apne nam nasab se na-waqif hun
maiñ iktishāf kī hijrat bahisht se laayā
mirī talāsh meñ merā maqām likkhā thā
main iktishaf ki hijrat bahisht se laya
meri talash mein mera maqam likkha tha
ḳhud ko paayā thā na khoyā maiñ ne
be-karāñ zaat kinārā thā mujhe
KHud ko paya tha na khoya main ne
be-karan zat kinara tha mujhe
maiñ ne bhī bachchoñ ko apnī nisbat se āzād kiyā
vo bhī apne hāthoñ se insān banānā bhuul gayā
main ne bhi bachchon ko apni nisbat se aazad kiya
wo bhi apne hathon se insan banana bhul gaya
saat qulzum haiñ mire siine meñ
ek qatre se ubhārā thā mujhe
sat qulzum hain mere sine mein
ek qatre se ubhaara tha mujhe
kaun qatre meñ uThātā hai talātum
aur antar-ātmā tak sīñchtā hai
kaun qatre mein uThata hai talatum
aur antar-atma tak sinchta hai
lafz jab utrā mirī āñkheñ munavvar ho ga.iiñ
lafz 'ahmad' zindagī se rābte kī Dor hai
lafz jab utra meri aankhen munawwar ho gain
lafz 'ahmad' zindagi se rabte ki Dor hai
shab-o-roz naḳhl-e-vajūd ko nayā ek barg-e-anā diyā
hameñ inhirāf kā hausla bhī diyā to misl-e-duā diyā
shab-o-roz naKHl-e-wajud ko naya ek barg-e-ana diya
hamein inhiraf ka hausla bhi diya to misl-e-dua diya
pop dhamāke meñ ham bhaktī DhūñD rahe haiñ
maiDonā ke ḳhatt-o-ḳhāl meñ miirā dekheñ
pop dhamake mein hum bhakti DhunD rahe hain
maiDona ke KHatt-o-KHal mein mera dekhen