Sher of Ahmad Waqas Mahrwi
kā.enātoñ kā alaav sard hotā jā rahā hai
zindagī kā sabz pattā zard hotā jā rahā hai
kaenaton ka alaw sard hota ja raha hai
zindagi ka sabz patta zard hota ja raha hai
maiñ ne karnī hai sitāroñ se koī raaz kī baat
abhī kuchh aur mire qad ko baḌhāyā jaa.e
main ne karni hai sitaron se koi raaz ki baat
abhi kuchh aur mere qad ko baDhaya jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujhe pārsā.ī kā da.avā nahīñ hai
farishta nahīñ maiñ nirā aadmī huuñ
mujhe parsai ka dawa nahin hai
farishta nahin main nira aadmi hun
ek mukammal vāhid hastī merī mālik phir kaahe ko
kirchī kirchī reza reza pāra-pāra maiñ āvāra
ek mukammal wahid hasti meri malik phir kahe ko
kirchi kirchi reza reza para-para main aawara
aise meñ kis kā bharosa kījiye
jab kisī pyāse ko paanī maar de
aise mein kis ka bharosa kijiye
jab kisi pyase ko pani mar de
raat ko taare gintā huuñ aur rotā huuñ
kahne ko to maiñ bhī chhat pe sotā huuñ
raat ko tare ginta hun aur rota hun
kahne ko to main bhi chhat pe sota hun
aa jaa.e koī ranj miTāne ko kahīñ se
aflāk se utre yā nikal aa.e zamīñ se
aa jae koi ranj miTane ko kahin se
aflak se utre ya nikal aae zamin se
ā.īna-e-hayāt meñ barsoñ se ai vaqās
Thahrā huā hai aks tire ḳhadd-o-ḳhāl kā
aaina-e-hayat mein barson se ai waqas
Thahra hua hai aks tere KHadd-o-KHal ka
aah kartā hai to zanjīr bhī ro paḌtī hai
tū ne vahshī kī aziyyat ko kahāñ dekhā hai
aah karta hai to zanjir bhi ro paDti hai
tu ne wahshi ki aziyyat ko kahan dekha hai
mire har taraf bas ḳhudā hī ḳhudā haiñ
ḳhudāoñ meñ sahmā huā aadmī huuñ
mere har taraf bas KHuda hi KHuda hain
KHudaon mein sahma hua aadmi hun
hijr de ke bhī be-qarārī hai
aur sulgā.iye is ātish ko
hijr de ke bhi be-qarari hai
aur sulgaiye is aatish ko
qismat kā mirī haal batāoge mujhe kyā
mazdūr ke hāthoñ pe lakīreñ nahīñ hotīñ
qismat ka meri haal bataoge mujhe kya
mazdur ke hathon pe lakiren nahin hotin
jānib-e-rāh-e-adam jo bhī sidhāre jaa.eñ
ain mumkin hai kisī roz pukāre jaa.eñ
jaanib-e-rah-e-adam jo bhi sidhaare jaen
ain mumkin hai kisi roz pukare jaen
us harf-e-bā-safā ne to suulī chaḌhā diyā
vo ek harf-e-haq jo mire hāfize meñ thā
us harf-e-ba-safa ne to suli chaDha diya
wo ek harf-e-haq jo mere hafize mein tha
vaqt ke dā.ere meñ rahte hue
thak chukā huuñ hayāt sahte hue
waqt ke daere mein rahte hue
thak chuka hun hayat sahte hue
hayāt-o-maut kā ye falsafa bajā lekin
darūn-e-ḳhāk mirā dil zarūr dhaḌkegā
hayat-o-maut ka ye falsafa baja lekin
darun-e-KHak mera dil zarur dhaDkega
vo jo anā kī qaid meñ ab tak hai mutma.in
ab us ke lauTne kā gumāñ kis liye kareñ
wo jo ana ki qaid mein ab tak hai mutmain
ab us ke lauTne ka guman kis liye karen
usī ke nuur se raushan haiñ kahkashā.eñ bhī
vo ek ism jo merī zabāñ se jaarī hai
usi ke nur se raushan hain kahkashaen bhi
wo ek ism jo meri zaban se jari hai
jānib-e-maqtal ghasīTā jā rahā hai
mujh pe ye ilzām hai maiñ aadmī huuñ
jaanib-e-maqtal ghasiTa ja raha hai
mujh pe ye ilzam hai main aadmi hun
jis kī fitrat meñ ho bas ek ḳhudā kī puujā
aisī miTTī se koī but na banāyā jaa.e
jis ki fitrat mein ho bas ek KHuda ki puja
aisi miTTi se koi but na banaya jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kisī ne ranj diyā aur kisī ne gaalī dī
ba-qadr-e-zarf navāzā hai dostoñ ne mujhe
kisi ne ranj diya aur kisi ne gali di
ba-qadr-e-zarf nawaza hai doston ne mujhe
maiñ māntā huuñ burā biit biit jā.egā
magar vo tiir jo terī kamāñ se aa.egā
main manta hun bura bit bit jaega
magar wo tir jo teri kaman se aaega
bun rahī haiñ jaal phir se makḌiyāñ
ek āvāra sī makkhī ke liye
bun rahi hain jal phir se makDiyan
ek aawara si makkhi ke liye
shab-e-siyāh ke māthe pe likh rahā huuñ maiñ
zavāl-e-ādam-e-ḳhākī kī dāstān hanūz
shab-e-siyah ke mathe pe likh raha hun main
zawal-e-adam-e-KHaki ki dastan hanuz
mustaqbil ke ḳhauf se sahmā rahtā huuñ
maiñ ne būḌhe peḌ kī āñkheñ dekhī haiñ
mustaqbil ke KHauf se sahma rahta hun
main ne buDhe peD ki aankhen dekhi hain
hayāt-o-maut kā ye falsafa bajā lekin
darūn-e-ḳhāk mirā dil zarūr dhaḌkegā
hayat-o-maut ka ye falsafa baja lekin
darun-e-KHak mera dil zarur dhaDkega
saḳht mashaqqat vaale din bhī kaaTe haiñ
ḳhuun rulāne vaalī rāteñ dekhī haiñ
saKHt mashaqqat wale din bhi kaTe hain
KHun rulane wali raaten dekhi hain
koī sadī mirī muntazir hai kisī sadī se guzar rahā huuñ
maiñ ek manzar meñ jī uThūñgā maiñ ek manzar meñ mar rahā huuñ
koi sadi meri muntazir hai kisi sadi se guzar raha hun
main ek manzar mein ji uThunga main ek manzar mein mar raha hun