Sher of Ahtamam Sadiq
ab apnā intizār rahegā tamām-umr
ik shaḳhs thā jo mujh se judā kar gayā mujhe
ab apna intizar rahega tamam-umr
ek shaKHs tha jo mujh se juda kar gaya mujhe
musalsal sochte rahte haiñ tum ko
tumheñ jiine kī aadat ho ga.ī hai
musalsal sochte rahte hain tum ko
tumhein jine ki aadat ho gai hai
so apne shahr ke raunaq kī ḳhair māñgnā tum
maiñ apne gaañv se ik shaam le ke aa rahā huuñ
so apne shahr ke raunaq ki KHair mangna tum
main apne ganw se ek sham le ke aa raha hun
kyā kahūñ kaifiyyat-e-dil kis qadar TuuTā huuñ maiñ
ab agar chāhā gayā to ret meñ mil jā.ūñgā
kya kahun kaifiyyat-e-dil kis qadar TuTa hun main
ab agar chaha gaya to ret mein mil jaunga
ek din us ko muñh lagāyā aur
aur cigarette chhoḌ dī maiñ ne
ek din us ko munh lagaya aur
aur cigarette chhoD di main ne
ai ashk na kar zulm zarā der Thahar jā
ik shaḳhs abhī merī nigāhoñ meñ basā hai
ai ashk na kar zulm zara der Thahar ja
ek shaKHs abhi meri nigahon mein basa hai
mujh ko thī mahfiloñ kī bahut aarzū magar
tanhā.iyoñ ke ḳhauf se tanhā rahā huuñ maiñ
mujh ko thi mahfilon ki bahut aarzu magar
tanhaiyon ke KHauf se tanha raha hun main
merī rātoñ se pare duur vo mahtāb sā jism
us ko sochūñ to mire ḳhvāb bhī jal jaate haiñ
meri raaton se pare dur wo mahtab sa jism
us ko sochun to mere KHwab bhi jal jate hain
ab ibādat meñ bhī aa jaate ho lab par mere
itnā paḌhtā huuñ tumheñ hijr ke lamhoñ meñ ki bas
ab ibaadat mein bhi aa jate ho lab par mere
itna paDhta hun tumhein hijr ke lamhon mein ki bas
kaun sā dard utar aayā hai tahrīroñ meñ
saare alfāz janāze kī tarah lagte haiñ
kaun sa dard utar aaya hai tahriron mein
sare alfaz janaze ki tarah lagte hain
tū tum samajhne lage hijr ke ma.ānī ko
tumhārī bhī koī shai tum se chhīn lī ga.ī kyā
tu tum samajhne lage hijr ke maani ko
tumhaari bhi koi shai tum se chhin li gai kya
vo shaḳhs yādoñ kā mujh ko ġhulām karte hue
gayā bhī to mirī nīndeñ harām karte hue
wo shaKHs yaadon ka mujh ko ghulam karte hue
gaya bhi to meri ninden haram karte hue
nahīñ hai zindagī tujh se koī bhī vāsta lekin
talāshegī to mil jā.ūñgā terī har kahānī meñ
nahin hai zindagi tujh se koi bhi wasta lekin
talashegi to mil jaunga teri har kahani mein
vo us nazar kā tasādum vo hoñT kī jumbish
tamām kar gayā mujh ko kalām karte hue
wo us nazar ka tasadum wo honT ki jumbish
tamam kar gaya mujh ko kalam karte hue
sar-e-mahfil vo phir se aa ga.e haiñ aaj be-parda
na jaane kaun sī shai phir mirī taqsīm honī hai
sar-e-mahfil wo phir se aa gae hain aaj be-parda
na jaane kaun si shai phir meri taqsim honi hai
hadd-e-nazar tak ek darīche se aaj phir
maiñ jā rahā thā aur koī dekhtā rahā
hadd-e-nazar tak ek dariche se aaj phir
main ja raha tha aur koi dekhta raha
merā suqrāt ko paḌhnā bhī qayāmat Thahrā
zahr de kar mire apnoñ ne mujhe maar diyā
mera suqraat ko paDhna bhi qayamat Thahra
zahr de kar mere apnon ne mujhe mar diya
dil kī lagī se jaan bhī chhūTī to yuuñ huā
vo shaḳhs zindagī ke taqāzoñ se mar gayā
dil ki lagi se jaan bhi chhuTi to yun hua
wo shaKHs zindagi ke taqazon se mar gaya
Darāte ho hameñ kyā shaiḳh tum roz-e-qayāmat se
dar-e-jānāñ pe ham ne hashr barpā ḳhuub dekhā hai
Daraate ho hamein kya shaiKH tum roz-e-qayamat se
dar-e-jaanan pe hum ne hashr barpa KHub dekha hai
laboñ ne us ke bhī gustāḳhiyāñ bahut kī haiñ
ye aur baat ki hoñToñ kī surḳhiyāñ na ga.iiñ
labon ne us ke bhi gustaKHiyan bahut ki hain
ye aur baat ki honTon ki surKHiyan na gain
ā.īna toḌ Daalā hai ab tere aks ko
tasvīr kar rahā huuñ tirī yaad joḌ kar
aaina toD Dala hai ab tere aks ko
taswir kar raha hun teri yaad joD kar
agar TūTūñ to merī kirchiyāñ maazī ko de denā
ki mustaqbil meñ phir merī na.ī tajsīm honī hai
agar TuTun to meri kirchiyan mazi ko de dena
ki mustaqbil mein phir meri nai tajsim honi hai
vasl ne to mujhe shiddat kī tapish meñ rakkhā
hijr thā jis ne mujhe sāya-e-dīvār diyā
wasl ne to mujhe shiddat ki tapish mein rakkha
hijr tha jis ne mujhe saya-e-diwar diya
pairāhan baaqī hai mere jism pe ab bhī ujlā sā
shāyad ishq mukammal nāzil honā ab bhī baaqī hai
pairahan baqi hai mere jism pe ab bhi ujla sa
shayad ishq mukammal nazil hona ab bhi baqi hai
kisī ke diid kā paiġhām le ke aa rahā huuñ
tavāf ke liye ehrām le ke aa rahā huuñ
kisi ke did ka paigham le ke aa raha hun
tawaf ke liye ehram le ke aa raha hun
us shaḳhs ko balā kī mohabbat thī mujh se dost
phir ek roz us ne irāda badal liyā
us shaKHs ko bala ki mohabbat thi mujh se dost
phir ek roz us ne irada badal liya
tez bārish meñ kahīñ duur saḌak par baiThe
ham tire chhoḌ ke jaane kā sabab sochte haiñ
tez barish mein kahin dur saDak par baiThe
hum tere chhoD ke jaane ka sabab sochte hain
ek hasrat ne hameñ rab kā muqarrab rakhā
ham agar 'ishq nahīñ karte to kāfir hote
ek hasrat ne hamein rab ka muqarrab rakha
hum agar 'ishq nahin karte to kafir hote
daar pe khīñchnā lāzim hai zamāne mujh ko
maiñ ne matrūk mohabbat ko jilā baḳhshī hai
dar pe khinchna lazim hai zamane mujh ko
main ne matruk mohabbat ko jila baKHshi hai