Sher of Ajay Negi
log koī aur hī matlab nikāleñ dostī kā
aap pahlū se mire thoḌā sā haT ke baiThā kiije
log koi aur hi matlab nikalen dosti ka
aap pahlu se mere thoDa sa haT ke baiTha kije
chaa.e piite aur bāteñ karte lekin
tum yahāñ aa.e ho ġhussa saath le kar
chae pite aur baaten karte lekin
tum yahan aae ho ghussa sath le kar
zindagī achchhī bahut hai
aaj phir se jhuuT bolā
zindagi achchhi bahut hai
aaj phir se jhuT bola
shaam jaldī se guzar jā.egī to ham
is udāsī ko dabā deñge kahīñ par
sham jaldi se guzar jaegi to hum
is udasi ko daba denge kahin par
dekhne hālat mirī sab aa.e haiñ
ek bas us sang-dil ko chhoḌ kar
dekhne haalat meri sab aae hain
ek bas us sang-dil ko chhoD kar
āsmāñ kā ham ḳhasārā kaise karte
us sitāre ko sharāra kaise karte
aasman ka hum KHasara kaise karte
us sitare ko sharara kaise karte
chashm-o-lab-o-ruḳhsār par bose diye
ham ne zarā sī der meñ kyā kyā kiyā
chashm-o-lab-o-ruKHsar par bose diye
hum ne zara si der mein kya kya kiya