Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Akhilesh Tiwari's Photo'

Akhilesh Tiwari

1966 | Jaipur, India

Akhilesh Tiwari

Ghazal 24

Sher-o-Shayari 13

sub.h-saverā daftar biivī bachche mahfil nīndeñ raat

yaar kisī ko mushkil bhī hotī hai is āsānī par

subh-sawera daftar biwi bachche mahfil ninden raat

yar kisi ko mushkil bhi hoti hai is aasani par

hañsnā ronā paanā khonā marnā jiinā paanī par

paḌhiye to kyā kyā likkhā hai dariyā peshānī par

hansna rona pana khona marna jina pani par

paDhiye to kya kya likkha hai dariya ki peshani par

aql vāloñ meñ hai guzar merā

merī dīvāngī sambhāl mujhe

aql walon mein hai guzar mera

meri diwangi sambhaal mujhe

har-dam badan qaid ronā fuzūl hai

mausam sadā.eñ de to bikhar jaanā chāhiye

har-dam badan ki qaid ka rona fuzul hai

mausam sadaen de to bikhar jaana chahiye

vo shakl vo shanāḳht vo paikar aarzū

patthar ho ke rah ga.ī patthar aarzū

wo shakl wo shanaKHt wo paikar ki aarzu

patthar ki ho ke rah gai patthar ki aarzu

Hindi Ghazal 2

 

BOOKS 2

 

More Poets From "Jaipur"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now