Sher of Akhtar Jamal
ham pahāḌoñ ko rauñd aa.e the
jab salīqa nahīñ thā chalne kā
hum pahaDon ko raund aae the
jab saliqa nahin tha chalne ka
jis ko dekhā hī nahīñ āñkhoñ ne
us kī tasvīr banā dete haiñ
jis ko dekha hi nahin aankhon ne
us ki taswir bana dete hain
jaltī huī cigarette bujhā.ī nahīñ maiñ ne
jiine ke liye aur sahārā bhī nahīñ thā
jalti hui cigarette bujhai nahin main ne
jine ke liye aur sahaara bhi nahin tha