Akhtar Razaa Saleemi
Ghazal 9
Nazm 1
Sher-o-Shayari 13
ik aag hamārī muntazir hai
ik aag se ham nikal rahe haiñ
ek aag hamari muntazir hai
ek aag se hum nikal rahe hain
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
aa.e adam se ek jhalak dekhne tirī
rakkhā hī kyā thā varna jahān-e-ḳharāb meñ
aae adam se ek jhalak dekhne teri
rakkha hi kya tha warna jahan-e-KHarab mein
- Add to favorites
-
Share this
pahle tarāshā kāñch se us ne mirā vajūd
phir shahr bhar ke haath meñ patthar thamā diye
pahle tarasha kanch se us ne mera wajud
phir shahr bhar ke hath mein patthar thama diye
- Add to favorites
-
Share this
ab zamīñ bhī jagah nahīñ detī
ham kabhī āsmāñ pe rahte the
ab zamin bhi jagah nahin deti
hum kabhi aasman pe rahte the
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
guzar rahā huuñ kisī jannat-e-jamāl se maiñ
gunāh kartā huā nekiyāñ kamātā huā
guzar raha hun kisi jannat-e-jamal se main
gunah karta hua nekiyan kamata hua
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal