Sher of Ali Asar Bandvi
us be-ḳhabar kī niiñd kā 'ālam na pūchhiye
takiya kahīñ hai zulf kahīñ aur kahīñ badan
us be-KHabar ki nind ka 'alam na puchhiye
takiya kahin hai zulf kahin aur kahin badan
tū to mahloñ meñ rahtī hai ye tujh ko mā'lūm nahīñ
sahrāoñ meñ maiñ bhaTkā huuñ hijr kī vahshat mujh se pūchh
tu to mahlon mein rahti hai ye tujh ko ma'lum nahin
sahraon mein main bhaTka hun hijr ki wahshat mujh se puchh
ehsās-e-tishnagī na thā sahrā meñ kuchh magar
lab ḳhushk ho rahe haiñ samundar ko dekh kar
ehsas-e-tishnagi na tha sahra mein kuchh magar
lab KHushk ho rahe hain samundar ko dekh kar
hijr kā maarā huuñ Table par yahī sab pāoge
adh-likhe ḳhat bikhrā album aur ḳhālī botaleñ
hijr ka mara hun Table par yahi sab paoge
adh-likhe KHat bikhra album aur KHali botalen
'ishq meñ koī bhī sarhad hameñ manzūr nahīñ
'ishq sarhad ke to us paar bhī ho saktā
'ishq mein koi bhi sarhad hamein manzur nahin
'ishq sarhad ke to us par bhi ho sakta
jin ke dāman meñ mere ḳhuun ke chhīñTe the 'asar'
ab vo shaffāf libāsoñ meñ nazar aate haiñ
jin ke daman mein mere KHun ke chhinTe the 'asar'
ab wo shaffaf libason mein nazar aate hain
ḳhvāb ke jaisā na paayā ḳhvāb kī tā'bīr se
dard vahshat hijr sahrā hī milā taqdīr se
KHwab ke jaisa na paya KHwab ki ta'bir se
dard wahshat hijr sahra hi mila taqdir se
jo pahle aañkh se ojhal huā thā
vo ab dil se bhī ruḳhsat ho rahā hai
jo pahle aankh se ojhal hua tha
wo ab dil se bhi ruKHsat ho raha hai
tumhāre hijr ne hī to hameñ shā'ir banāyā hai
tumhāre hijr pe ham ko ka.ī dīvān likhne haiñ
tumhaare hijr ne hi to hamein sha'ir banaya hai
tumhaare hijr pe hum ko kai diwan likhne hain
talḳhī ke saath kiije na tark-e-ta'alluqāt
chubhtā rahegā varna ye lahja tamām 'umr
talKHi ke sath kije na tark-e-ta'alluqat
chubhta rahega warna ye lahja tamam 'umr